Awozobilahe Menashaitan Nir Rajim, Bismillah Hir Rahmin

Saari Tarife us Khuda-e-Buzurgho Barkat ke Naam, Ke jis Ke Kabzae Kudrat Me Kainat Ka Har Nizam Hai Doorudo Salam Mohamed wa Ale Mohamed Par

(Allahumma Salle Ala Mohammedin Wa Ale Mohammed) x3

Ya Nabi Allah Ya Habib Allah Ya Kalim Allah Ya Shafi Allah Ya Rasool Allah Ya Nabi Allah

(Ya Rasool Allah) x4

    Zamin Jab Na thi, na Aasma koi, na chand tare the, na keh kasha koi, hooruf bhi na the, na thi zaba koi (Tha ayse alamme bhi mehrba koi) x2 Khuda bas ayse me yeh keh raha hoga Mere Hawale se jo taskera hoga

    (Nabi Nabi Hoga) x2 Chaman Chaman Hoga Kali Kali Hoga
    Habib mera hai libas-e-rehmat me, Banayi hai dunia isi ki chahat me, sanaa isi ki hai, kalame kudrat me (doorud isi per hai meri ibadat me) x2 jo saktiya jhele meri mohabat me, shafi-e-mehshar bhi fakat yahi hoga

    (Nabi Nabi hoga) x2 chaman chaman hoga kali kali hoga
    Wo mere bando ko, mera pata dega, who besaharo ko bhi aasra dega, who zakham kayega magar duwa dega (isi ka kunba to gala kata dega) x2 Husain sab apne diye buja dega, andhera jab fayle, who roshni hoga

    (Nabi Nabi hoga) x2 chaman chaman hoga kali kali hoga
    Nabi ka roza hai hamare sino me, hasino yakta hai who sab hasino me, isi ka charcha hai falak nashino me (jali hai naam iska sabhi sahifo me) x2 likha hai naam is ka sabhi safino me, ab humko tufan se na dar koi honga

    (Nabi Nabi hoga) x2 chaman chaman hoga kali kali hoga
    Duwaye karte hai tere wasile se, mariz jitne hai unhe shifa dede, nabi ke sadke me ye martaba dede (yaki(n) ki manzil ka tu raste dede) x2 nabi ke bachho ka tu khake pe dida kahaa tera jaysa koi sakhi honga

    (Nabi Nabi hoga) x2 chaman chaman hoga kali kali hoga

    (Ya ali maula) x4

    Imamul momineen, Imamul muttaqeen, Imamul saddiqeen, Imamul alimeen, Imamul awaleen, Imamul akhireen

    (Ya kaheral aduwe, wa waliyal wali, ya mazharal ajaaeb, ya murtaza Ali) x2
    Nabi ne manga tha, khudaase ek nasir, Ali ki surat me, huwa hai wo zahir, Nabi ne jab chaaha ali huwe hazir (Ali ki midhat se zaban hai kasir) x2 Ali sar-e-mimber salooni ka zakir, jaha nabi honga, waha Ali honga

    (Nabi Nabi hoga) x2 chaman chaman hoga kali kali hoga
    Ali ko baksha hai, khudaane kya rutba, nabi sa bhayi hai, batool si zawjah, Ali nazar aya, Ali ka har beta (Nabi ki hiqmat ka Ali hai darwazah) x2 Na dusra haider, na dusra kaba, na ho saka pehle, na ab kabhi hoga

    (Nabi Nabi hoga) x2 chaman chaman hoga kali kali hoga
    Who asr-e-ashoora, ali ka ek beta, rasool the jisse, rasool se jo tha, tamam lasho ko uthata tha tanha (Jo zere khanjar ye, bayaan deta tha) x2 Rahenga deen ab to hamare nana ka, zamin-e-maqtal per likha yahi honga

    (Nabi Nabi hoga) x2 chaman chaman hoga kali kali hoga
    Ali ke kunbe per, sitam huwe kya kya, kahi jale khayme kahi luta parda, kahi kate bazu, kahi chida seena (Kisi ka maqtal me bikhar gaya lasha) x2 Ye zulm dekha to khuda pukar utha, Hussain jo kehde sada wahi honga

(Nabi Nabi hoga) x2 chaman chaman hoga kali kali hoga

Nabi Nabi hoga, ali ali honga chaman chaman hoga kali kali hoga

(Ya Rasool Allah) x4

Salallaho alayhi wa aali hi wa sallam