Na mehmil hai na haudaj hai,

Na lashkar ki wo sajdhaj hai,

Na sarpe alam na chadar hai,

Allah ye kaisa manzar hai,

(musafirane musibat, watan me aate hai) x2

    safar se aate hai soghate dard laate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2
    kiya salaam muhammed ke aastane ko,

    pataa ke aaye hai zehra ke sab gharane ko,

    na kar kubool tu hum bekaso ke aane ko,

    ye nawha karte hai aur ashk khu(n) bahaate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2
    madina hum tere waali ko aaye hai kho kar,

    madina kufe me sar nange hum phire dardar,

    madina daaghe rasan hai humare shaano par,

    uthaa ke haath madine ko ye sunaate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2
    har ek kadam hai buka kab labo pe bayn nahi,

    hamaye zindaa pa zehra ka noor ayn nahi,

    madina akbaro qasim nahi hussain nahi,

    ye kaise kaise jawaan the jo yaad aate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2
    madine waalo kaho us behan ki kya taqdir,

    jo dekhe apne biradar ke halq par shamsheer,

    lahu me ghark jo dekhe hussain ki tasveer,

    lahu me kya yuhi baayi ka sar dikhate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2
    batawo kahte hai kya sab us amma jayi ko,

    jo arbaeen talak de kafan na bhayi ko,

    bahan dikhayegi mu(n) kis tarha khudayi ko,

    kafan diya hai na unki lehed banaate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2
    chala bashir ye deta huwa khabar har jee,

    magar mehelaye hashim me dekhta hai kya,

    ke ik mariza sare raah hai khari tanha,

    hai muntazir ke wo kunbe ke log aate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2
    khabar ye phayli to matam har aik ghar me huwa,

    nikal nikal pari sab aurate barehnapaa,

    ghiri zamin pe sughra ke uspe charkh gira

    ye soghwaar hai sughra ke paas ate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2
    fizae dard me lekar udaasiya aayi,

    shapar se lit ke idher bhukhi pyasiya aayi,

    utho rasul tumhari nawasiya ayi,

    ye khudko untho se ehle haram ghiraate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2
    jo aayi kaan me awaaze banue muztar

kaha ho ay mere wali imame jinno bashar,

tarap ke rehgayi sughra bapa huwa mehshar,

"kabir" bas ab falaq thartharate hai

(musafirane musibat, watan me aate hai) x2