gham khayegi zainab mar jayegi zainab
zindan se reha hoke jo ghar jayegi zainab
bin bhai ke jayegi to mar jayegi zainab
zindan se reha hoke....
ghar lutgaya pardes may veeran hai dinya
zindan se reha hoke bhi zindan hai dunya
is qaid se ghar jaake bhi kya paaegi zainab
zindan se reha hoke....
soona hai makan jisme wo shehdayi na honge
ghar hoga magar ghar may mere bhai na honge
ta hashr yehi bhai ka gham khayegi zainab
zindan se reha hoke....
bachpan hai jahan aun o mohamed ne guzaara
ab un dar o deewar ki tanhai ne maara
ab unke na saaye may khabi jayegi zainab
zindan se reha hoke....
be aas mujhe kar gaye bache mere kamsin
bin beton ke kehlayi to kehlayi mai lekin
bin bhai ke dunya may na kehlayegi zainab
zindan se reha hoke....
is baat pe hairat hai bahot ahle watan may
abbas se bhai ki bahan aur rasan may
roodad ye kis tarha se batlayegi zainab
zindan se reha hoke....
aaya na koi laut ke bhai tera sughra
soona hi rahega bani hashim ka mahella
kya deke dilaasay usay behlayegi zainab
zindan se reha hoke....
haye roti hui jab jaaungi nana ki lehad par
aur maajra poochegi wahan roohe payambar
kurta wo phata bhai ka dikhlayegi zainab
zindan se reha hoke....
aaya na hilal aisa kada waqt kisi par
kis kis ke liye royegi ye bekas o muztar
kis kis ka wahan fateha dilwayegi zainab
zindan se reha hoke....