abbas alamdaar
kya huwa kyun udaas betha hai
tu azaadaare ibne zehra hai
chal wahaan rab jahaan pe milta hai
chal jahaan panjetan ka saaya hai
wo sakhi dar khula hi rehta hai
abbas alamdaar

chote hazrat ki baargaah chalo
chalo abbas ki dargaah chalo

inki dargaah se saughaate wafa milti hai
naame zainab pe yahaan sabko rida milti hai
zaayeron aawo sakina ki dua milti hai
mere saqqe ke azaadaar jiyo
chalo abbas ki dargaah chalo

haan yehi baabe hawaayej hai dua e zehra
ye ali ka hai saraapa to hasan ka chehra
inko kehte hain hussain ibne ali ka pyaara
panjatan paak ke pyaare se kaho
chalo abbas ki dargaah chalo

haazari inki jab hoti hai diye jalte hain
mustafa fatema hasnain o  ali aate hain
milke sab maadare abbas se farmaate hain
aawo abbas ki tum nazr to do
chalo abbas ki dargaah chalo

inka jab aath moharram ko alam uth’ta hai
ek mashkeeza bhi panjhe se bandha rehta hai
uspe saqqaye sakina bhi likha rehta hai
ye alam kya hai sakina se suno
chalo abbas ki dargaah chalo

jisne nau laakh ke lashkar ka bharam torh diya
uspe ek mashk ke chidne ne sitam torh diya
ya sakina kaha aur khaak pe dam torh diya
milke sab maatame abbas karo
chalo abbas ki dargaah chalo

zaamine chaadare zainab the alamdaare wafa
jis ghari saaniye zehra se ye fizza ne kaha
chaadare apni sambhaalo ke wo ghazi na raha
pursa ab zainab o kulsum ko do
chalo abbas ki dargaah chalo

chote hazrat ki ghulaami ka sharaf paaya hai
rabbe kaaba ki qasam ye bara sarmaaya hai
nauha jo sarwar o rehaan se parhwaaya hai
shukre maula chalo ghazi se kaho
chalo abbas ki dargaah chalo

chote hazrat hussain ke bhaayi
chote hazrat ba haqqe saqqaayi
tum waseela ho gham ke maaron ka
tum waseela ho be sahaaron ka
baargaahe khuda me ay ghaazi
aapki baat rad nahi hoti
dil ki uljhan nikaal do maula
meri mushkil ko taal do maula
ye gunahgaar bhi tumhaara hai
is liye aap ko pukaara hai
dard ki ab koyi dawa bhejo
ab mujhe karbala bula bhejo
waasta sayyade madina ka
waasta zainab o  sakina ka
bibi ummul baneen ka sadqa
waasta panjetan ka deta hun
waasta bekafan ka deta hun
chote hazrat hussain ke bhaayi