Kehti thi Zainab ay mere sheyro, kehti thi Zainab, mere dilero

(Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x4

    Khwaab ye Zainab ka tha, chaand sitare mere (chaand sitare) x2

    Mamu pe hogaye fida, god ke pale mere (god ke pale) x2

    Khwaab ye sacha huwa, sar mere uncha raha, hone ko sheh par fida laal mere, sheyr mere chaand mere

    (Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2
    Jaffar-e-tayyar ke khun ke akkas ho (khun ke akkas) x2

    Husn mei Akbar ho tum josh mei Abbas ho (Josh mei Abbas) x2

    Jang ke maydaan mei maut ke armaan mei, saya-e-Qur'an mei, aise utho aise paro maut pe tum qud paro

    (Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2
    Ha meri tafeed par dhyan tumhara raho, (dhyaan tumhara) x2

    Jake lab-e-nehr bhi pyaas gawara rahe (pyaas gawara) x2

    Dud na bakshungi mei, mu bhi na dekhungi mei, sheyr ki beti hu mei, wada karo aao chalo, tum na raho

    (Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2
    Maana ke pyaase ho tum, pyaas pe kabu rahe (pyaas pe kaabu) x2

    Sheh ke alamdar ki, saans mei khushbu rahe (saans mei khushbu) x2

    Bas ye tamanna meri, laaj rahe khun ki, hai ye wasiyat meri, khawo qasam, jaawo hasham, hoga na kam

    (Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2
    Aun ye kehna laga, bhaayi Muhammad suno (bhaayi Muhammad) x2

    Eik taraf mei baro, eik taraf tum barho (eik taraf tum) x2

    Jang ho fowj-e-sitam, jang kare aise ham, Maamu hame de alam, deke hame amma kahe jite rahe

    (Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2
    Dono jari jang ko surat-e-andhi bare, (surat-e-andhi) x2

    Nana Ali ki tarha, maut pe havi rahe (maut pe havi) x2

    Milke jo hamla kiya, meymana-o-mesra, eik me dam hogaya, teygh-e-Ali, aise chali, dhum machi

    (Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2
    Dekh rahi thi jo maa khayme ke darpar khari, (khayme ke dar par) x2

    Saath wahi the khare Hazrat-e-Abbas bhi, (Hazrat-e-Abbas) x2

    Bhaayi behen saath the, sahib-e-awlaad the, waris-e-ajdaad the, kehne lage khub lare sheyr mere

    (Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2
    Larte kaha tak bhala pyaas ke maare huwe (pyaas ke mare) x2

    Jalti huwi khaak par dono tarapne laga (dono tarapne) x2

    Bhaayi se kehne lagi, fakhr se bint-e-Ali, surkhru Zainab huwi, sar pe tere bhaayi mere, laal huwe

    (Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2
    Aun-o-Muhammad na the, wo dur-e-nayaab the (wo dur-e-nayaab) x2

"Sarwar-o-Rehan" wo wakif-e-adab the (wakif-e-adab) x2

Hukm jo maa ne diya rukh na kiya nehr ka, pyaas ka sadma saha, maa ne kaha shukhr-e-khuda, huwe fida

(Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2