Roze ashoor hai. Zuljanah par sawaar. Ghum ka seene pei haar. Kown maqtal mein aata hai parwardigaar. Dil mein bhaayi ka beton ka apno ka gham. Sehra ha hai musalsal sitam par sitam. Khoon mein duba libaas-e-ghareebi liye. Ran mein dekho Hussain aa raha hai. Khushk honto se sukhi zabaan se. Jo sada pe sada de rahaa hai.

Shaamiyon Shaamiyon Shaamiyon aawo maqtal mein aawo. (Ek pyaase ki jung dekho) x2 (Allahu Akbar Allahu Akbar) x2

    Naam mere khuda ka raheyga. Qalma-e-laa ilaaha raheyga. Deen Qur'aan kaaba raheyga. Mera Islaam zinda raheyga. Tegh meri qaza mein dhali hai. Mere baazu mein zoor-e-Ali Hai.

    Shaamiyon Shaamiyon Shaamiyon aawo maqtal mein aawo. (Ek pyaase ki jung dekho) x2 (Allahu Akbar Allahu Akbar) x2
    Karbala haq ki taaqat raheygi. Ye lahu ki tamazat raheygi. Meri dharti ki izzat raheygi. Mere parcham ki hurmat raheygi. Khatm ho jaayegi har ghulaami. Mujhko tareekh degi salaami.

    Shaamiyon Shaamiyon Shaamiyon aawo maqtal mein aawo. (Ek pyaase ki jung dekho) x2 (Allahu Akbar Allahu Akbar) x2
    Tum ho sairaab aur mein hun pyaasa. Tum hazaron ho aur mein hun tanha. Margaya hai jawaan bhaai mera. Le gaya nur aankhon ka beta. Jung ka naam ab tum na loge. Kyaa Ali aagaye ye kahoge.

    Shaamiyon Shaamiyon Shaamiyon aawo maqtal mein aawo. (Ek pyaase ki jung dekho) x2 (Allahu Akbar Allahu Akbar) x2
    Khoon kyun aadmi ka bahayen. Amn ke phool har jaa khilayen. Saari insaniyat ko jagayen. Zulm se haan magar haath uthaayen. Tum ne majboor mujh ko kiya hai. Ab meri tegh-o-amr-e-khuda hai.

    Shaamiyon Shaamiyon Shaamiyon aawo maqtal mein aawo. (Ek pyaase ki jung dekho) x2 (Allahu Akbar Allahu Akbar) x2
    Wo jo laashon pe laashe uthaaye. Ek katra jo paani na paaye. Jis ka ghora bhi thakkar karaa hai. Jung us ki hazaron se haaye. Phir bhi jinn-o-malak jung dekhe. Arsh waale meri jung dekhe.

    Shaamiyon Shaamiyon Shaamiyon aawo maqtal mein aawo. (Ek pyaase ki jung dekho) x2 (Allahu Akbar Allahu Akbar) x2
    Mere baba Ali aa chuke hain. Mere bhaya Hasan aa chuke hai. Daad Abbas bhi de rahen hain. Mujh ko Akbar mere dekhte hain. Dar-e-khayma pe behne khari hain. Amma Zahra dua de rahi hai.

    Shaamiyon Shaamiyon Shaamiyon aawo maqtal mein aawo. (Ek pyaase ki jung dekho) x2 (Allahu Akbar Allahu Akbar) x2
    Jab kiya parh ke takbeer hamla. Shoor uthne laga al amaan ka. Shola-e-zulfiqaar aisa chamka. Paaon tak khoon mein duba tha ghora. Ran mein uth ne lagi khoon ki mowjein. Jaa ke kufe se takraayi fowjein.

    Shaamiyon Shaamiyon Shaamiyon aawo maqtal mein aawo. (Ek pyaase ki jung dekho) x2 (Allahu Akbar Allahu Akbar) x2
    Jab ye dekha falak se ye manzar. Bola jibreel se Rabb-e-Akbar. Kehdo Shabbir se ab ye jaakar. Imtehaa khatm hai ibne Haider. Mutmain nafs waale palat aa. Rab tera tujhse raazi huwa. Tera zaakir hai tera khudaa. Ay Hussain Irjaaee Ay Hussain Irjaaee. Irjaeee Marhaba. Shor Raihaan-o-Sarwar uthaa. Asr-e Aashoor ka waqt tha. Aa rahi thi azaan ki sadaa. Sheh ne Sajde mein Sar Rakhdiyaa.

Ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain