(Ya Abbas) x2

(Aysa alam hai kaha, aysa jawaan hai kaha) x2

    Ye hai Abu Talib ka gharana, Is pe Khuda ka khas karam hai, Sare Arab me sare ajam me, kisko mila ye jaaho hasham hai (in me koi yasin-o-muzammil, in me koi sardar-e-iram hai) x2 Uski alag hi shan hai maula, jisko mila haider ka alam hai

    (Aysa alam hai kaha, aysa jawaan hai kaha) x2
    Kaisa saja hai kaisa hasin hai, karbobala mei shah ka lashkar, yu to sabhi hai sheyr-e-dilawar, Auno Muhammad Qasimo Akbar (Ibne Mazahir Wehbe Kalbi, John bhi Hur bhi sare dilawar) x2 Apni jagha ye sab hai bahaddur, Foj me teri ay shah-e-safdar

    (Aysa alam hai kaha, aysa jawaan hai kaha) x2
    Baade namaz-e-fajr ziyarat, tere alam ki karta hu, sharf ghulami ka mil jaye, mai ye wazifa parhta hu (karke ziyarat tere alam ki, phir me ghar se chalta hu) x2 Saye mei chawda masoomo ke, shukhre khudaa mei rehta hu

    (Aysa alam hai kaha, aysa jawaan hai kaha) x2
    Ham to saje darbar ali hai, khas ye tujse rishta hai, jad bhi hai tera kool ka maula, tu bhi hamara aaka hai (tere fakiro me ay ghazi, Arsh nashi bhi rehta hai) x2 Sindhme aawo maula kadam par, laal kalandar kehta hai

    (Aysa alam hai kaha, aysa jawaan hai kaha) x2
    Shaam ke lashkar me halchal thi, kaun jari ab aata hai, burhe jawaano se kehte the, yeh to Ali ab aata hai (sar pe khuda thokar me kazaa hai, kehre jali ab aata hai) x2 Kehna para Ahmed ko Ali se, tera wasi ab aata hai

    (Aysa alam hai kaha, aysa jawaan hai kaha) x2
    Teri shahadat se kunbe par, kaisi qayamat tut gayi, jis ko kaha karte the aaka, katl huwa wo bhayi bhi (Sar se chini Zainab ke chadar, teri Sakina qayd huwi) x2 Hayi teri majboori Ghazi, Maa Zehra ye kehti rahi

(Aysa alam hai kaha, aysa jawaan hai kaha) x2