Maula maula, maula maula, maula maula..(2)
maula maula mere,
maula maula mere,
maula maula mere maula
maula maula mere maula
Maula maula maula mere maula

Mai kar raha tha zikr e alamdaar baar baar

Mai kar raha tha zikr e alamdaar baar baar..(2)
Meesum ne khud pinhaye..(2)
mujhe haar baar baar
Mai kar raha tha zikr e alamdaar baar baar..(2)

1. Ghar mein ali jo karte the parcham ki guftugu..(2)
shaano ko dekhta tha..(2), alamdaar baar baar

2. Kitne bulandiyo pe hai abbas ke alam..(2)
kehte hai masjido ke ye meenar baar baar

3. Labbaik jisne aalam e arwaah mein kaha..(2)
aata hai karbala mein wo zawwar baar baar

4. Mehdi ye aake ganje shahida'n mein kehte hai..(2)
milte kaha hai aise wafadaar baar baar

5. Makhsoos ye sharaf hai yadullah ke liye..(2)
aati nahi hai...
aati nahi hai arsh se talwaar baar baar

6. Maine ali ke ishq ka sauda nahi kiya..(2)
aaye the mere paas kharidaar baar baar

7. Shaam o iraq mein ho dhamake hua kare..(2)
jaenge phir bhi...
jaenge phir bhi sheh ke azadaar baar baar

8. Ye fakhr kam nahi hai takallum ke waaste..(2)
meesum bhi sunte hai tere ash'aar baar baar

Mai kar raha tha zikr e alamdaar baar baar
Maula maula, maula mere maula..(2)