Ya Mohammad.. Ya Mohammad..(5)
Madina kab bhala firdaus se kam hai kisi surat
ye hai wo raaz jo humko farishto ne bataya hai
meri qismat pe naaza hai muqaddar saari duniya ke
mere sarkaar ne mujhko watan apne bulaya hai
madiney ka musafir hu..(4)

Salaam un paak rasto'n par jaha'n sarkaar guzre hai
salaam un paak galiyo'n par jaha'n hasnain(a.s.) khele hai
dare zehra(s.a.) jaha'n aakar, farishte bheekh lete hai
unhi rasto'n, unhi galiyo'n, usi darr ka mujawir hu,

Aye zawwaro'n Mohammad(s.a.w.w.) ke, tumhe sar par uthaunga
tumhe raste mein mai sarkaar ki naatein sunaunga
jo thak kar baith jao tum, mai payro ko dabaunga
mere ham raah ho jao, mai har khidmat ko hazir hu

Baqayya jaate hi khudko zamee'n par mai giraunga
nabi ki aal ki gurbat pe mai aasu bahaunga
masaeb aale ahmed ke mai duniya ko sunaunga
tadapta hai ye dil kitna, mai batlane se qasir hu

Madiney jaake mai sarkaar ki mehfil sajaunga
mai khud sarkaar ko sarkaar ki naatein sunaunga
pakad kar jaaliya'n unse sanad bakhshish ki paunga
karam farhan par kar dein mere aaqa mai zaaer hu
madiney ka musafir hu..(4)