Kaash mai daur e payambar mein uthaya jaata..(2)
ba khuda qadmo mein sarkaar ke paaya jaata
kaash mai...

1. Saath sarkaar ke ghazwaat mein shamil hota..(2)
unki nusrat mein lahu mera bahaya jaata

2. Ret ke zarro mei Allah badal deta mujhe.(2)
phir mujhe raahe Mohammad mei bichaya jaata

3. Khaak hojata mai sarkaar ke qadmo ke tale..(2)
khaak ko khaak e madina mein milaya jaata

4. Milke sab log mujhe matti se gaarha karte..(2)
phir mujhe masjid e nabawi mein lagaya jaata

5. Kaash aye kaash..(2)
kaash aye kaash mai hota koi aisi lakdi..(2)
jisko sarkaar ke mimbar mein lagaya jaata

6. Unke roze ke daro baam sajane ke liye..(2)
rozano mein meri aankho' ko lagaya jaata

7. Laaya jaata sare darbaar aseero'n ki tarha..(2)
hukm par unke mai azaad karaya jaata

8. Ya utarta mai kisi naat ke misre bankar..(2)
ru ba ru unke mai unko hi sunaya jaata

9. Hote us daur ka qissa koi "Noor" o "Farhan"..(2)
Aaj ke daur mein baccho ko padhaya jaata
Kaash mai daur e payambar mein uthaya jaata
ba khuda qadmo mein sarkaar ke paaya jaata
Kaash mai daur e payambar mein uthaya jaata