Haie Payambar Ka Madadgar Jo Hai Sarwar Ka Azadar... (2)
Jo Azadar Nhi Ho Sakta... (5)
Wo Wafadar Nhi Ho Sakta

1)Rann Me Abbas Ne Khat Khech Diya... (4)
Ab Koi Paar Nhi Ho Sakta
Jo Azadar Nhi Ho Sakta... (2)
Wo Wafadar Nhi Ho Sakta

2)Mera Dawa Hai Azadare Hussain... (4)
Kabhi Gaddar Nhi Ho Sakta
Jo Azadar Nhi Ho Sakta... (2)
Wo Wafadar Nhi Ho Sakta

3)Padh Ke Tum Naad-e-Ali Waar Karo...(4)
Waar Bekaar Nhi Ho Sakta
Jo Azadar Nhi Ho Sakta... (2)
Wo Wafadar Nhi Ho Sakta

4)Sheikh Ji Dur Se Bhi Janaat Ka... (4)
Tumko Deedar Nhi Ho Sakta
Jo Azadar Nhi Ho Sakta... (2)
Wo Wafadar Nhi Ho Sakta

5)Ghume Shabir Me Bin Roye Hue... (4)
Zehn Bedaar Nhi Ho Sakta
Jo Azadar Nhi Ho Sakta... (2)
Wo Wafadar Nhi Ho Sakta

6)Qatile Sheh Ka Koi Rishtedaar... (4)
Taziyadar Nhi Ho Sakta
Jo Azadar Nhi Ho Sakta... (2)
Wo Wafadar Nhi Ho Sakta

7)Sheh Ke Bimaar Pe Rone Wala... (4)
Kabhi Bimaar Nhi Ho Sakta
Jo Azadar Nhi Ho Sakta... (2)
Wo Wafadar Nhi Ho Sakta

8)Karwaa Madhe Ali Ka Nayab... (4)
Sustt Raftaar Nhi Ho Sakta
Jo Azadar Nhi Ho Sakta... (2)
Wo Wafadar Nhi Ho Sakta