Shahibe Nade Ali (A.s.) , Gair Re Farrar Ali (A.s.).....3
Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno.....2

Khaibar Ki Karzar Ka Manzar Sunata Hun
Jibril Sath Do Mera Khaibar Sunata Hun

Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno.....

Khaibar Ki Jung Abh Bhi Hai Duni Me Yadgar
ChAli (A.s.)s Din Taveel Hui Hai  Yeh Karzar 
Khud Sakhta Rasool Ke The Jitne Jaan Nisar
Maidan Chod Chod Ke Hote Rahe Farar
Lashkar Me Muslimon Ke Ajeeb Inteshar Tha
Har Ek Ke Dimag Me Marhab Sawar Tha

Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno.....

Hasti Thi Maut Dekh Ke Har Roz Marka
Masroof Bhag Daud Me The Sare Surma
Woh Jung Thi Ke Jung Bhi Sharmai Zar Zar
Chalis Din Me Ek Bhi Zakhmi Nahi Hua
Marhab Jo Puchta Tha Ladonge Abhi Yanhin
Tege Chupa Ke Kehte The Sare Nahi Nahi

Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno.....

Lashkar Ke Abtri Pe Yeh Kehne Lage Nabi
Ghabrao Mat Ladai Ke Yeh Shab Hai Aakhri
Ab Kal Jo Mard Hoga Alam Paienga Wahi
Dar Parda Tha Nabi Ke Labon Par Ali (A.s.) Ali (A.s.)
Yani Alam Alif Se Yeh Lashkar Uthaienga
Jo Gaib Se Alam Hai Woh Haidar Uthaienga

Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno.....

Mazi Se Apna Peecha Chudate Hai Isliye
Apna Hadaf Alam Ko Banate Hai Kis Liye
Panje Ke Samt Ungli Uthate Hai Kisliye
Ab Samje Hum Alam Woh Jalate Hai Kis Liye
Unke Badon Ko Hakk Se Yeh Mansab Mila Nahi
Khaibar Ka Zakhm Hai Jo Abhi Tak Bhara Nahi

Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno.....

Har Ke Ko Shak Tha Mera Hi Lenge Rasool Naam
Jaage Hue The Raat Ke Aankhen Thi Surkh Saam
Jo Chote Kad The Panjon Ke Bal The Khade Tamam
Itne Me Laaie Arash Se Jibrail Yeh Payam
Lashkar Na Kar Sakenga Tumhari Koi Madad
Allah (S.w.t.) Keh Raha Hai Kaho Ya Ali (A.s.) Madad

Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno.....

Nade Ali (A.s.) Zaban E Mohammad (S.a.w.w)Pe Aa Gai
Aur Ustaraf Madine Me Kehne Lage Ali (A.s.)
Kambar Chalo Pukar Rahe Hai Humne Nabi
Dul Dul Ko Pyar Karke Yeh Farmaya Us Ghadi
Aaj Is Tarha Se Chal Ke Falak Kaap Ne Lage
Daude To Tere Sath Hawa Hanp Ne Lage

Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno.....

Jaisa Kaha Tha Badshah E Khas O Aam Ne
Waisa Kiya Hai Dul Dul E Mehshar Khiyam Ne
Hairat Se Dekha Lashkar E Khairul Anam Ne
Sher E Khuda Khade The Mohammad (S.a.w.w.) Ke Saam Ne
Har Chehre Pe Sawal Tha Hazrat Kahan Se Aai
Salman Bole Aaj Ali (A.s.) Aasman Se Aaie

Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno.....

Haq Se Alam Mila Sue Khaibar Ali (A.s.) Chale
Chumi Rakab Fatha Ne Aakar Ali (A.s.) Chale
Deen E Khuda Ka Banke Mukaddar Ali (A.s.) Chale
Lashkar Chala Zameen Pe Hawa Par Ali (A.s.) Chale
Aaya   Hai  Phir Jalal Imam E Mubeen Ko
Jibrail Jaldi Tham Lo Aakar Zameen Ko

Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno.....

Hujjat Mariz E Maut Pe Hujjat Ne Ki Tamam
Ek Fikre Me Samet Diya Maqsad E Kalam
Haidar Hamari Maan Ne Rakha Hai Hamara Naam
Hushiyar Zulfikar Hui Meri Beniyam
Shamshir (a)buturab Ki San Se Pohuch Gai
Marhab Ke Sar Pe Maut Se Pehle Pohuch Gai

Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno.....

Sar Se Chalis To Seene Pe Aakar Thahar Gai
Seene Pe Saans Leke Jigar Me Utar Gai
Nikli Jigar Ko Kaat Ke Taba Kamar Gai
Thi Muth Peeche Peeche Yeh Bijili Jidhar Gai
Katkar Adu E Deen E Khuda Khak Pe Gira
Aadha Idhar Zameen Pe Aadha Udhar Gira

Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno.....

Jaata Hai Kis Shikoh Se Allah (S.w.t.)Ka Asad
Khaibar Ka Dar Ukhad Ne Tana Bashad Do Madh
Pohucha Kareeb E Dar Jo Woh Banda E Ahad
Besakhta Ali (A.s.) Ne Kaha Ya Ali (A.s.) Madad
Aaise Ukhada Lamhe Me Khaibar Ke Baab Ko
Jis Tarha Shakh Se Koi Tode Gulab Ko

Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno.....

Takseem Sub Me Maal E Ganimat Kiya Gaya
Haidar Ko Hissa Sub Se Ziyada Diya Gaya
Is Amr Par Sawal Nabi Se Kiya Gaya
Kyun Adl Se Na Kaam Yahan Par Liya Gaya
Bole Rasool Dakhl Nahi Tujh Jaise Fard Ko
Dete Hai Hissa Dugna Shariat Me Mard Ko

Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno.....

Allah (S.w.t.) Re Sakhawat E Mushkil Kusha Ali (A.s.)
Aaisa Kahan Hai Meer Takallum Koi Sakhi
Daulat Baname Male Ganimat Jo Thi Mili
Khairat Kardi Rahe Khuda Me Khushi Khushi
Dehliz E Dar Pe Pohuche To Salman To Sath The
Lab Par Khuda Ka Shukr Tha Aur KhAli Hath thea