HUSSAIN KI KHAATIR MIR HASAN HUI HAI KHALQ YE DUNIYA,
HUSSAIN KI KHATIR..
best payday loans

Imam-e-Asr hai zinda…
HUSSAIN KI KHATIR..
Haaa… HUI HAI KHALQ YE DUNIYA,
HUSSAIN KI KHATIR..

1)Kaha rasul se rab ne na sar uthana abhi,
Tumhari pusht pe baitha hua hai ibne Ali,
Badhado aaj ye sajda..
HUSSAIN KI KHATIR…
Haaa… HUI HAI KHALQ YE DUNIYA,
HUSSAIN KI KHATIR…

2)Kalam uthaya tha taamire Karbala ke liye,
Wagarna jung thi kya ibne murtaza ke liye,
Hasan ne zapt kiya tha..
HUSSAIN KI KHATIR…
Haaa… HUI HAI KHALQ YE DUNIYA,
HUSSAIN KI KHATIR…

3)Kaha wo noor sarapa, kaha makaan mera,
Sharaf ye farshe aza se mujhe nasib hua,
Mere ghar aa gayi Zehra..
HUSSAIN KI KHATIR…
Haaa… HUI HAI KHALQ YE DUNIYA,
HUSSAIN KI KHATIR…

4)Yahi daleel hai ek-dusre se ulfat ki,
Rizae rab ke liye kijiye azadari
Khuda ko kijiye sajda..
HUSSAIN KI KHATIR…
Haaa… HUI HAI KHALQ YE DUNIYA,
HUSSAIN KI KHATIR…

5)Mubahile ka asar Karbala me dekh liya,
Wahab ki maa tujhe pohche salaam qaim ka,
Khuda ko de diya beta..
HUSSAIN KI KHATIR…
Haaa… HUI HAI KHALQ YE DUNIYA,
HUSSAIN KI KHATIR…

6)Sila Hussain ki maadar se usko aisa mila,
Har ek shaheed ye markad me kar raha hai dua,
Ke maut aae dobara Hussain ki khatir x2
Haaa… HUI HAI KHALQ YE DUNIYA,
HUSSAIN KI KHATIR..

7)Hai isliye bhi zaruri juloos me jaana,
Shumaar karte hai Abbas roze Aashura,
Ke gharse kaun hai nikla..
HUSSAIN KI KHATIR…
Haaa… HUI HAI KHALQ YE DUNIYA,
HUSSAIN KI KHATIR…

8)Khuda ka shukr Takallum nasib waala hu,
Mai apna maksade takleek yaad rakhta hu,
Hai saans-saans meri Ya..
HUSSAIN KI KHATIR…
Haaa… HUI HAI KHALQ YE DUNIYA,
HUSSAIN KI KHATIR