Abad Wallah Ya Zehra (s.a.) Manind Sa Hussaina (a.s.).....3
As Salam....3 Aai Zair E Hussain Assalam

Labbaik Ya Hussain (A.s)....4

Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....2

Allah (S.w.t.) ki Bahisht Ke Haqdar Assalam
Aai Turbate Hussain (A.s.) Ke Zawwar Assalam

Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4

Tujhpar Salam Shaam O Sahar Zair E Hussain (A.s.)
Zair Hai Tere Shams O Kamar Zair E Hussain (A.s.)
Khud Keh Rahe Hai Ahle Khabar Zair E Hussain (A.s.)
Tu Tha Gunagar Magar Zair E Hussain (A.s.)
Tera Thikana Barsare Aflak Ho Gaya
Zam Zam Sada e Deta Hai Tu Paak Ho Gaya

Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4

Haj Ka Sawab Lekar Utha Tera Har Kadam
Rakha Kadam Zameen Pe To Umrah Hua Rakam
Aawaz Aa Rahi Hai Yeh Nabion Ki Dam Ba Dam
Tu Zair E Hussain (A.s.) Tere Zaireen Hai Hum
Deedar Kar Ke Rauzae Sarwar Ka Farsh Par
Tu Ne Khuda Ko Dekhliya Jaake Arsh Par

Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4

Khola Hai Rab Ne Bab E Fazilat Tere Liye
Kudsi bhi Kar Rahe Hai Ibadat Tere Liye
Kausar Hai Tere Waaste Jannat Tere Liye
Arfe Ke Roz Hai Yeh Saadat Tere Liye
Mumtaz Kar Diya Tere Masjood Ne Tujhe
Haji se Pehle Deha Hai  Mabood Ne Tujhe

Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4

Tujhko Dua E Binte Payambar Naaseeb Hai
Kismat Ko Naaz Hai Woh Mukaddar Naseeb Hai
Tera Malaika Se Bhi Badh Kar Naseeb Hai
Kya Martaba Tujhe Share Mhehshar Naseeb Hai
Jub Naseeran e Shah Ko Khalik Bulaienga
Mhehshar Me Tu Bhi Sath Bahattar Ke Jaienga

Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4

Haj Ke Bagair Haj Ka Fariza Ada Kiya
Mausam Ki Koi Fikr Na Khaufe Kaza Kiya
Chalo Se Apne Marhame Zakhme Ana Kiya
Tune Barahna Pa Safar E Karbala Kiya
Katre Tere Pasine Ke Kya Kaam Aaie Hai
Allah (S.w.t.) Ne Unhi Se Farishte Banaie Hai

Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4

Kis tarha Se Bayan Ho Manzar Woh Ish Ke
Paidal Jo Karbala Ko Nikalte Hai Kaafle
Koi Najaf Se Aur Koi Basrah Ki Rah Se
Hathon Me Ya Hussain (A.s.) Ke Parcham Liye Hue
Zair Jo Karbala Ki Taraf Daude Jaate Hai
Abbas (A.s.) Chal Ke Khud Unhe Lene Ko Aate Hai

Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4

Hoti Hai Ek Katar E Mawkib Wahan Saji
Khidmat Me Zaieereen Ki Rehta Hai Har Koi
Pani Liye Koi To Koi Ban Ke Malishi
Un Khadimon Ke Ishk Pe Kehta Hai Dil Yahi
Karte Hai Saaf Aa Ke Pasina Jabeen Se
Mil Ne Hussain (A.s.) Aate Hai Jub Khadmeen Se

Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4

Dulhan Ki Tarha Rah Sajate Hai Aashikeen
Khaime Mohabbaton Ke Lagate Hai Aashikeen
Jo Saal Bhar Me Risk Kamate Hai Aashikeen
Daulat Woh Zairon Pe Lutate Hai Aashikeen
Kehte Hai Phir Bhi Kalb Hamare Na Bhar Sake
Hum Zair E Hussain (A.s.) Ki Khidmat Na Kar Sake

Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4

Jo Raste Me Karbobal Ke Guzaar Gai
Kaise Kahu Ke Mir Takallum Woh Mar Gaie
Pardes Me The Laut Ke Woh Apne Ghar Gaie
Aaie Ajal Bataun Woh Zair Kidhar Gaie
Dare Fana Se Mulk E Baka Legaie Hussain (A.s.)
Khud Aake Unko Karbobala Le Gaie Hussain (A.s.)

Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4

Abad Wallah Ya Zehra (s.a.) Manind Sa Hussaina (A.s.).....2

As Salam .....3