Ali ali..ali ali..
sadiyo ke intezaar ka kaisa sila diya
dono jaha'n ka sar meri janib jhuka diya
13 rajab ali se ye bola khuda ka ghar
qibla mujhe to aapne kaaba bana diya
ali ali ali ali...ali ali ali ali..ali ali ali ali..ali ali maula haider maula

Aaye ali khana e kaaba ye pukara
milke lagao sabhi haiderii naara
ali ali ali ali ali ali haider maula..(2)

1. Dekhne manzar ye nabi aur wali aaye hai
ghar hai ye allah ka aur usme ali aaye hai
kaisa hasee'n aaj hai kaabe ka nazara
kisko mila wasf ye duniya me dobara
ali ali ali ali ali ali haider maula..(2)

2. Zebe musalla the nabi karte the haqq se dua
kaun kufe fatima zehra hai khuda ya bata
kaisa diya khaliq e akbar ne ishara
aaya dare haider e safdar pe sitara
ali ali ali ali ali ali haider maula..(2)

Raato'n ko ali jaage to khaliq ne ye socha
farshe shab e hijrat to sajana hi padega
khatre mein na padd jaaye mera wasfe khudai
ek shab ke liye isko sulana hi padega
sulana hi padega..sulana hi padega

3. Waqeya ye bhi shabe hijrat ke sabab hogaya
wasfe khudai ko bachana tha ali sogaya
bistar e Ahmed ke qareeb pohcha bichara
lashkar e kuffar ka sardaar pukara
ali ali ali ali ali ali haider maula..(2)

4. Jispe mere maula ne ek ghaiz mein daali nazar
uthta nahi duniya se uth jaata hai wo ehle sharr
bughz e ali deta hai bande ko khasara
ishq e ali ne hi muqaddar ko sawara
ali ali ali ali ali ali haider maula..(2)

5. Leke Mohammad se alam jaate rahe soorma
guzre kai roz magar fatha na khaiber hua
mil gaya mushkil mein Mohammad ko sahara
naade ali padhke Mohammad ne pukara
ali ali ali ali ali ali haider maula..(2)

6. Mazhar o farhan ka ailaan zamana sune
haider e qarrar ki midhat mein tarana sune
kehta hai har aan ye eeman hamara
tujhsa banaya hi nahi rabb ne dobara
ali ali ali ali ali ali haider maula..(2)

ali ali ali ali...ali ali ali ali..ali ali ali ali..ali ali maula haider maula..(2)

ali ali maula haider maula..(4)