(Hai waqt karaa sar par aaya, hai chaaron taraf gham ka saaya) x2

(Phir aaj bani hai karbobala) x2 phir karbobala ne yaad kiya

(Ay hussayniyon) x2 (jaag utho) x3 Hussayniyo, Ai Hussayniyon, Ai Hussayniyon

    Ek jaan hoke saare huseini chalo, apni hasti sawaare huseini chalo, is alam ke sahaare huseini chalo, faatema ke pyaare huseini chalo, (sirf ghazi ka parcham uthaa kar chalo) x2 (jaag utho) x3

    Hussayniyon, Ay Hussayniyon, Ay Hussayniyon
    apni taarikh par mehr baani karo, ilm ke des pe hukm raani karo, apne dushman ko ab paani paani karo, naam akber ke apni jawaani karo, (ilmo hikmat ki shamma jalaakar chalo) x2 (jaag utho) x3

    akl ki jang afkaar se jeetlo, har mubah-la ko guftaar se jeetlo, zulm ko sabr ke waar se jeetlo, saari dunya ko kirdaar se jeetlo, (khud ko apne hussaynio banaakar chalo) x2 (jaag utho) x3

    Hussayniyon, Ai Hussayniyon, Ai Hussayniyon
    Zikre shabbir hi apna manshur hai, usse ham duur hai sheh se woh duur hai, har zamin karbala se hi maamur hai, apna har yawm hi yawme aashur hai, (karbala apne dilme basaakar chalo) x2 (jaag utho) x3

    jiska aain kerdaar saadhi bhi hai, waqt ki jiske haathon mei baazi bhi hai, jo shahadat ka talib hai ghazi bhi hai, matami hai wohi jo namazi bhi hai, (apne kirdaar se ye batakar chalo) x2 (jaag utho) x3

    Hussayniyon, Ai Hussayniyon, Ai Hussayniyon
    Apne maazi se pucho ke tum koun ho, tum ho musa agar koi firaun ho, tum khuda wand ke aun ke aun ho, har nayi karbala ke liye john ho, (khaakh mei dushmanon ko milaa kar chalo) x2 (jaag utho) x3

    Hussayniyon, Ai Hussayniyon, Ai Hussayniyon
    dehr mei ab bhi halmin ki aawaaz hai, tum woh ho jinpe shabir ko naaz hai, shah ka gham muqaddar ki parwaaz hai, matami kehl waana to ehsaas hai, (apne seeno pe tum gha sajaa kar chalo) x2 (jaag utho) x3

    Hussayniyon, Ai Hussayniyon, Ai Hussayniyon
    fikr ko har badi se muarra karo, bas musalmaan hone pe gharra karo, dil yazidi safon se mubarra karo, panjatan ke udu pe tabarra karo, (naaraa-e-hydery tum lagaa kar chalo) x2 (jaag utho) x3

    Hussayniyon, Ai Hussayniyon, Ai Hussayniyon
    Zikre shabbir hi apna manshur hai, usse ham duur hai sheh se woh duur hai, har zamin karbala se hi maamur hai, apna har yawm hi yawme aashur hai, (karbala apne dilme basaakar chalo) x2 (jaag utho) x3

    Hussayniyon, Ai Hussayniyon, Ai Hussayniyon
    apni taarikh par mehr baani karo, ilm ke des pe hukm raani karo, apne dushman ko ab paani paani karo, naam akber ke apni jawaani karo, (ilmo hikmat ki shamma jalaakar chalo) x2 (jaag utho) x3

    Hussayniyon, Ay Hussayniyon, Ay Hussayniyon
    akl ki jang afkaar se jeetlo, har mubah-la ko guftaar se jeetlo, zulm ko sabr ke waar se jeetlo, saari dunya ko kirdaar se jeetlo, (khud ko apne hussaynio banaakar chalo) x2 (jaag utho) x3

    Hussayniyon, Ay Hussayniyon, Ay Hussayniyon
    Shoukaton zikr maula ka irfaan hai, ye aqeeda malango ke pehchaan hai, jo bhi shabbir pe dilse qurbaan hai, woh azadaar jannat mei farhaan hai, (ye aqeeda sabhi ko sunaakar chalo) x2 (jaag utho) x3 