haider ke hami - zinda hai
shabbar ke hami - zinda hai
shabbir ke hami - zinda hai
abbas ke hami - zinda hai
sajjad ke hami - zinda hai
akbar ke hami - zinda hai
asghar ke hami - zinda hai
qasim ke hami - zinda hai

Tujse wada hai ye (shahe karbobala) -2
zinda rakhenge hum karbala - ya husain
karbala karbala karbala - ya husain
zinda rakhenge hum karbala - ya husain

apni aawaz me, apne andaaz me
apne anjaam me, apne aghaaz me
hum sadaa.. Husain
zinda rakhenge hum karbala - ya husain
karbala karbala karbala - ya husain
zinda rakhenge hum karbala - ya husain

1. Apni naslo ko paigham de hum yahi
matame shahe dee (qarz hai har ghadi) - 2
maqsade karbala aam karte raho
waqf kardo ghame (shaah me zindagi) - 2
apne paighaam me, apne ehkaam me
apne aaraam me, apne har kaam me
hum sadaa.. Husain
zinda rakhenge hum karbala - ya husain
karbala karbala karbala - ya husain
zinda rakhenge hum karbala - ya husain

2. Surato me takaza ye karta rahe
tum raho na raho (haq to zinda rahe) - 2
saans ruk jae kat jae chahe zaba
khoon behta rahe (aur ye kehta rahe) - 2
apne tatheer me, apni tafseer me
apni tehreer me, apni taqreer me
hum sadaa.. Husain
zinda rakhenge hum karbala - ya husain
karbala karbala karbala - ya husain
zinda rakhenge hum karbala - ya husain

3. Maa ne gutthi me humko pilaya hai kya
karbala karbala (karbala karbala) - 2
bolna yu sikhaya ke bolo zara
karbala karbala (karbala karbala) - 2
apne azhaan me, apne wehdan me
apne eeman me , apne ailaan me

4. zuljanah ho amari alam taziya
ye alaamat hai (mit na jae kahi) - 2
mannati hathkadi aur kalawe jo hai
saari duniya me ye (apni pehchaan hai) - 2
apni akaar me, apni guftaar me
apne eesaar me, apne qirdaar me

5. Nauha khwani ka mansab mila hai jise
uspe wajib hua (bus ye paigham de) - 2
tere lehje me haadi ki darkaar ho
aur chehre pe ho (karb sajjad ke) - 2
apni faryaad me, apni uftaad me
apni har yaad me, apne aulaad me

6. sabke laasho pe shabbir rote rahe
laashe shabbir par (koi ro na saka) - 2
ye sitam dekh kar boli sajjad se
binte khaiber shikan, (saniye sayyada) - 2
apne ailaan me, ghum ke aiwaan me
ghum ke toofan me, jaake zindaan me

7. Jab aseerane ghum shaam jaane lage
chashme sajjad se (ashk behne lage) - 2
bekafan baap ki laash par gir pade
mera wada hai ye (roke kehne lage)- 2
apne aazaar me, rahe purkhaar me
jaake bazaar me, aur darbaar me

8. Kamsino ki judai me asghar ka ghum
aur jawano ke ghum me (ho akbar ka ghum)- 2
baap se koi beti bichad jae gar
hum manaenge (bali sakina ka ghum) - 2
apne pyaro ka ghum, bhool jaenge hum
har jagah har qadam, maula teri qasam

9. jo qalam aur awaaz par qarz hai
qarz wo ho adaa (al madad sayyada) - 2
kaam farhan o mazhar ye karte rahe
qarya qarya sada (al madad sayyada) - 2
maqsade karbala, chhup nahi paega
tujhse wada raha, jaan karke fida

ya husain... yaa... husain