Kaise rehti ho bibi yahaa(n)

Haye jab mein bibi Sakina ke roze pe tha
Dekh kar unke roze ko dil ne kaha
Kal ye roza hi bibi ka zindaan tha
Dekha roza to maazi me mein khogaya
Saamne mere zindaan tha sham ka
Us ghari mere lab par fughaa(n) aagayi
Roshni ka safar bhi nahi(n)
Aur hawa ka guzar bhi nahi(n)
Kis qadr hafz he al amaa(n)

Kaise rehti ho bibi yahaan

Haye haaye

1.     Tum ko yaade padar sone deti nahi(n)
Aur uspe sitam he ye khaufe la-in
Zabte gham eik azaar he
Saans lena bhi dushwaar he
Tum to tum qaid le sisikiya

Kaise rehti ho bibi yahaa(n)

Haye haye

2.     Zakhm khaati ho aur ashk peeti ho tum
Mujhko hairat he kis tarha jeeti ho tum
Taziyaane dawa ban gaye
Ya andhere shifa ban gaye
Qaid me aisa mumkin kahaa(n)

Kaise rehti ho bibi yahaa(n)

Haye haye

3.     Meri bibi mujassam fughaa(n) hogayi
Kya khata thi ke qaidi yahaa(n) hogayi
Kam sini mein yateemi mili
Ghar se nikli aseeri mili
Sun raha hun ye kehti he maa(n)

Kaise rehti ho bibi yahaa(n)

Haye haye

4.     Fitrati saair baatein mujhe hei(n) khabar
Qaid mein qaidi ko yaad aata he ghar
Phul banke chaman me rahi
Kitne nazo(n) se ghar mei(n) pali
Ab ye gham ye sitam sakhtiyaa(n)

Kaise rehti ho bibi yahaa(n)

Haye haye

5.     Sham ki aurto(n) se suna he yahi
Tum jo roti ho sota nahi(n) he shaqi
Maarta he who sajjad ko
Seh ke sajjad uftaad ko
Karte rehte hein bas ye fughaa(n)

Kaise rehti ho bibi yahaa(n)

Haye haye

6.     Dil pe kohe garaa(n) ek ehsaas he
Chhote bachhe to darte hei(n) tanhaayi se
Har ghari pehradaaro(n) ka dar
Saath koi nahi(n) nawha gar
Na padar na chacha aur na maa(n)

Kaise rehti ho bibi yahaa(n)

Haye haye

7.     Tum jo ehle haram se juda qaid ho
Phir to haq he tumhara ke nawha karo
Haye qismat ye na hosaka
Hukm zalim se tujhko mila
Nawha khaani pe pabandiyaa(n)

Kaise rehti ho bibi yahaa(n)

Haye haye

8.     Aayi kaanon mein ye qaidiyo(n) ki fughaa(n)
Roke kehti hei(n) zindaa(n) mei(n) kuchh bibiyaa(n)
Hum ye keh keh ke matam karein
Is yateema ko zindaan mei(n)
Pursa deti he tanhaiyaa(n)

Kaise rehti ho bibi yahaa(n)

Haye haye

9.     Phir tasalsul tasawwur ka toota mera
Mir arshe nazar roza bibi ka tha
Haath masroof matam huwe
Ashk ankho(n) se girne lage
Phir bhi hoto(n) pe thi ye fughaa(n)

Kaise rehti ho bibi yahaa(n)

Haye haye

10.                        Lafz “mazhar” ke ehsaas “farhaan” ka
Woh ye kehta he bibi se meine kaha
Meine ye kehke matam kiya
Jin la-inon ne ki thi jafa
Un ke aulad ke darmiyaa(n)

Kaise rehti ho bibi yahaa(n)

Haye haye