Dekh kay giryao matam

har aik farsh-e-aza per

duay karta hoon mola(a.s)

(jub talak hai yeh jahan) x2

hai dua meray khuda(j.j)

(Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x2

    Jub talak hai yeh jahan, hai dua meray khuda(j.j)

    (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x2
    Teray huzoor dua mangtay hai ahl-e-aza

    Kubool kar lay bahakay rasool(s.a.w) sub ki dua

    Hamesha baki rahay zikr-e-shahenshahay wafa

    Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j)

    Hum rahay ya na rahay rahay baki yeh sada

    (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x4
    Zamana laakh badalta rahay nigah magar

    Dilon say mitnay nahi paye karbala ka asar

    Azan kay saath karay matmi sada bhi safar

    Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j)

    Jub chala zikr tera dil nay mangi yeh dua

    (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x4
    Yazedi fikr ko tu khaak may milata rahay

    Faza may perchamay abbas(a.s) lahlahata rahay

    Hussaini(a.s) azm yazeedon ka sar jhukata rahay

    Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j)

    Sar jo sajday may gaya hum nay so baar kaha

    (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x4
    Ghamay hussain(a.s) ko mehfooz rakh jafaon say

    Hussainiat(a.s) ka shajar door ho khizaon say

    Saja diya hai musalay ko in duaon say

    Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j)

    Lab kusha jub bhi huwa har hussaini(a.s) nay kaha

    (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x4
    Hamaray zakhmo ka marham hai yeh azay hussain(a.s)

    Sub hi ibadatay kartay hai hum baray-e-hussain(a.s)

    Labo pay taba qayamat sada ho haaye hussain(a.s)

    Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j)

    In duao(n) may khuda(j.j) saath hai karbobala

    (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x4
    Rahay wafa may kabhi dagmaga na paye qadam

    Hamaray dosh pay lehraye ba wafa ka alam

    Hamaray azm say larza rahay yeh ahl-e-sitam

    Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j)

    Jub bicha farsh-e-aza matmi kehnay laga

    (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x4
    Yeh majlise bhi khuda(j.j) madresoon say kam to nahi

    Tera rasool bhi kehta hai sirf hum to nahi

    Ghamay hussain(a.s) bara hai hamara ghum to nahi

    Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j)

    Apnay ghum bhol gaya jis nay rokar yeh kaha

    (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x4
    Wikare majliso matam barhatay jayengay

    Charagh ashk-e- aza jalatay jayengay

    Hussaini(a.s) fikr dilo may jagatay jayengay

    Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j)

    Jub kalam chalnay laga keh uthi fikr-e-rasa

    (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x4
    Yahi akeeda hai "farhan" aur "mazhar" ka

Kay ek qabelay kay afrad hai yeh ahl-e-aza

Yeh nawha khwan yeh shair sabhi ki hai yeh sada

Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j)

Hum rahay ya na rahay rahay baki yeh sada

(Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x8