Ali waris



Ali Waris Bila waris Milaa Waris. Lazat-e-Ishq ali kiya hain Zamane walo Isko Darvaish sifat log samaj paate hain

Kon Waris he tera Kon mera Waris hai Awo e Ahele jahhan Hum tumhe Samjate hai



Ali Waris Ali Waris



(Nara Dervaish Ka Har gari Har Jagaa) x2

Ali Waris Ali Waris



1.     Mei Kahoo(n) Tum Kaho(n) Jo Nabi ne Kahaa(n)



Ali Waris Ali Waris



2.     Koyi Mushkil jab bhi aye lab pe thi Nade Ali
Rahe mei ayi rukawat barh gayi jab be kali

Ik sahara milgaya mene dil se keh diya



(Ali Waris Ali Waris) x2



3.     Mustafa bhi milgaye aur Milgayaa usko Khuda
Ilm jisko hogaye ke hain Ali mushkil Khusha

Tal gaye har ik balaa jisne mushkil me kaha



(Ali Waris Ali Waris) x2



4.     Har namaz-e-Ishq apni Narae Haider mei hai
Ye jo tughra Name-e-haider ka hamare ghar me hai
Ishq ne samjhadiya Iska Matlab ye huwa

5.      

(Ali Waris Ali Waris) x2



6.     Deti hai taarikh ham ko ye gawahi dam pe dam
Jange Khaibar me nabi ne de ke haider ko alam
Rakh ke maidan me kadam Apne lashkar se kaha



(Ali Waris Ali Waris) x2



7.     He hamari mehfilo ki abaru zikari Ali
Ye du’a sayeda se manzilate hum ko mili Akherat ki fikr kya,
Fikre ho duniya ki kya



(Ali Waris Ali Waris) x2



8.     Ho wali ajmeer koyi bu Ali ho(n) ya nizam
Ho koyi shehbaz ya ho rabea basri ka naam
Sab ka maslak ek tha sab ka naraa ek tha



(Ali Waris Ali Waris) x2



Hum hote nahi parashan Ali Waris Hai Mushkile hoti ha Asaan Ali Waris hai



Hum us kabile ke afrad hai
ye rasme jisme hamasha se hain
ho imteham ya koyi mareka
ghar se jo nikle to maa ne kaha
(Ja tera waris hai mushkil khusha
hai kamiyabi Mukadar tera) x2
dushman tere kuch na kar payenga
saya figan tuj pe he ye du’a.

Fatha tera nasib aur teri bakaa

(Ali Waris Ali Waris) x2



9.     Mashwara hai ye hamara Aaj har insaan ko
Dushmano se gar bachana chaho Pakistan ko
Hai nizame Mustafa har taraf ho ye sadaa



(Ali Waris Ali Waris) x2



10.                        Din-e-Maula karbala me Aasra ab kon hai
Hai bhawar me ye safina na khuda ab kon hai
Deen ki sun kar sadaa keh uthi karbobala



(Ali Waris Ali Waris) x2



11.                        Mashk de kar ye Sakina ne kaha Abbas se
Khushk hai mera gala me mar na jawu(n) piyas se
Dam karo Nade Ali pani le awo ay chacha   



(Ali Waris Ali Waris) x2



12.                        Akhri ruksat ko khaime me juhin aye Imam
Dekh ke bhayi ka chehera tha ye Zainab ka kalaam
Gham naa Khao tum mera jawo bhayi alwida



(Ali Waris Ali Waris) x2



13.                        Be rida saydaniyon se shimr ne jab ye kaha
Ab hifazat ko tumhari kon aayega bhala
bekason ko dekh kar roke Zainab ne kaha


(Ali Waris Ali Waris) x2



14.                        Har gari ishke Ali me lab khusha “farhan” he
Aur “Mazhar Abidi” ka bas yahi iman hai
Ta abad ik asara aj bhi hai kal bhi tha



(Ali Waris Ali Waris) x2