Akbar ka lasha dekhke khud mar gae hussain 
zalim toh bus hussain pe khanjar chalaaega

1. Atthara saal wale ka lasha utha liya
aisa laga ke apna janaza utha lia
akbar ke khun se ban me wuzu kar gae hussain

2. Barchi ka phal yeh kaisa rago me ulaj gaya
barchi nikalne pe kaleja bhi kat gaya
sakhtey me aa gaye isi dard se hussain

3. Laila ki hasrato ka janaza nikal gaya
sugra ki khwahisho ka
akbar ne barchi khayi magar mar gae hussain

4. Tu kya gaya ke meri basarat chali gai
tere hi sath jeene ki chahat chali gayi
beta dhadakna bhul gaya hai dile hussain

5. Khaime ke dar pe pahuche toh awaaz di yahi
zainab uthalo aakar meri laash hai padi
akbar ke saath katl waha ho gaye hussain

6. Akbar ka gum uthakar mera haal hai yahi
mai toh bus ek badan hu meri jaa nikal gayi
raftaar dekho lafz ki bejaan hai hussain

7. Bhai ka haal dekha to zainab tadap gayi
bete ke ghum me haalat hui kya hussain 
khune pisar me kis tarah galta hue hussain

8. Farhan ho ke mazhar bayaan kya kare koi 
maa ne pisar ke lashe pe faryaad ki yahi
ai laal saath tere jahaa se gaye hussain