Haye Ali Asghar (a.s).....2
Jab Shimr-e-laen (la) Shohda(as) Kay Sar Kaat Kay Laaya-
Shohda (as) Kay Saro'n Ko Pisar-e-sa'ad Nay Daikha-
Sar Asghar (a.s)-e-ma'asoom Ka Mojood Nahi'n Tha-
Yeh Kehtay Huway Shimr (la) Ko Paas Apnay Bulaya-
Hakim Mujhay Bakhshay Ga Nahi'n Tujh Ko Khabar Hai-
Ja Dhoond Sar-e-asghar (a.s) -e-ma'asoom Kidhar Hai-
Tareekh Mein Is Zulm Ka Milta Hai Hawala-
Zalim Nay Lahad Khod Kay Asghar (a.s) Ko Nikaala-
Sar Kaat Chuka Khoolii To Naiza Ko Sanbhala-
Naizay Peh Gaya Baano Ki Aaghosh Ka Paala-
Mot Bhi Noha Karti Thi Rokar-
Bigrha Hai Baano Tera Muqaddar...
Nok-e-sina'n Par Nanha Sa Eik Sar Laykay Chala Hai Haaey Sitamgar.....2

Jo Saahib-e-aulad Hai Sochay To Zara Sa-
Kis Darja Sitam Kokh Jali Maa'n Peh Huwa Tha-
Ghash Khaai Huwi Maa'n Nay Jo'nhi Aankho'n Ko Khola-
Naizay Peh Sar-e-asghar (a.s) -e-ma'asoom Ko Daikha-
Thaamay Kaieja Boli Woh Muztar-saani-e-zehra(sa) Dekho Yeh Manzar....
Nok-e-sina'n Par Nanha Sa Eik Sar Laykay Chala Hai Haaey Sitamgar.....2

Zainab (sa) Nay Soo-e-lashkar-e-a'ada Jo Nazar Ki-
Sar Peet Kay Yeh Kehnay Lagi Dard Ki Maari-
Aey Kushta-e-sham Sheer- E-jafa Aaey Meray Bhai-
Kia Ba'ad-e-shahadat Bhi Sitam Hota Hai Koi?-
Tu Hi Bata Aey Sabr Kay Paikar-kaisay Sanbhalay Dil Ko Yeh Madar....

Nok-e-sina'n Par Nanha Sa Eik Sar Laykay Chala Hai Haaey Sitamgar.....2

Kiya Zulm Meray Bachay Peh Hai Daikh Khudaya-
Na Jhoolay Mein Paay Na Sukoo'n Qabr Mein Paaya-
Maa'n Roti Hai Yeh Keh Ke Kaha'n Doodh Barhhaaya-
Pani Kay Iwaz Teer-e-sitam Halq Peh Khaaya-
Piyasa Gaya Tha Duniya Say Asghar- Ab Yeh Sitam Hai Khaliq-e-akbar....

Nok-e-sina'n Par Nanha Sa Eik Sar Laykay Chala Hai Haaey Sitamgar.....2

Phir Kehnay Lagi Maadar-e-akbar Say Lipat Kar-
Athhara Baras Jee To Gaya Tha Tera Dilbar-
Khoo'n Tujh Ko Rulati Hai Magar Furqat-e-akbar(as)-
Ab Soch Ke Kiya Beet Gai Hai Meray Dil Par-
God Se Jis Ko Lay Gaey Sarwar(as)- Dikh Rahi Hoo'n Aaj Yeh Manzar....

Nok-e-sina'n Par Nanha Sa Eik Sar Laykay Chala Hai Haaey Sitamgar.....2

Shabbir (as) Nay Daikha Jo Sina'n Par Sar-e-asghar (as)-
Eik Baar Nigaahon Say Kiya Sajdah Zamee'n Par-
Phir Bolay Nigaho'n Ko Uthaey Huway Sarwar (as)-
Tu Raazi To Main Raazi Meray, Khaliq-e-akbar-
Wa'ada Nibhaaya Ghar Ko Luta Kar- Aab Yeh Sitam Bhi Sehta Hoo'n Dil Par....

Nok-e-sina'n Par Nanha Sa Eik Sar Laykay Chala Hai Haaey Sitamgar.....2

"farhan" Lahoo Rotay Huway Likhta Hai "mazhar"-
Doraan-e-safar Ghazi Say Farmatay Thay Sarwar (as)-
Tu Hota To Yeh Zulm Nahin Hota Baradar-
Fariyaad Yeh Hai Daano-e-dilgeer Kay Lab Par-
Bazoo-e-shabbir(as) Daikh To Aakar- Halq Hai Zakhmi Khaak Hai Sar Par....

Nok-e-sina'n Par Nanha Sa Eik Sar Laykay Chala Hai Haaey Sitamgar.....2

Haye Ali Asghar (a.s),.... 2