Abbas..(3)
kis sher ki aamad hai ke rann kaanp raha hai
rann ek taraf, charkhe kohan kaanp raha hai
rustam ka badan zere kafan kaanp raha hai
har qasr salateen e zaman kaanp raha hai
shamsheer bakaf dekh ke haider ke pisar ko
jibreel larazte hai samete huwe par ko
sher e ali ki aamad hai ye..(2)
aate hai darya pe alamdaar
lashkar mein badi dhoom hai..(3)
aate hai darya pe alamdaar
lashkar mein badi dhoom hai..(3)

1. Jab chala mashko alam lekar wo saqqa e haram
tha ali jaisa hi alamdaar ka jaaho hasham
keh utha darya..YaAbbas..(4)
keh utha darya iske paas haider ka alam..(2)
chhod de sahil ko pehre daar

2. Al amaa'n ka shor uttha yak ba yak maidan mein
yun laga ke gir hi jayega falak maidan mein
maut ka naara..YaAbbas..(4)
maut ka naara ye gunja door tak maidan mein..(2)
aagaye kya haider e qarraar

3. Tegh se likhega ye jarraar qissa maut ka
ek pal tootega na aada se rishta maut ka
hai faras tera..YaAbbas..(4)
hai faras tera sare maidaa'n farishta maut ka..(2)
aaj tu hai bar sare paikaar

4. Har qadam rahwaar ke hamraah chalti hai qaza
hai dhamak aisi larazta hai ye dashte nainawa
ab teri talwaar...YaAbbas..(4)
ab teri talwaar se paani piyegi alqama..(2)
aye khudai fauj ke salaar

5. Zulf hai toole shabe me'raaj ki tasweer si
Hai jabeen e naaz kohetoor ki tanweer si
hai teri nazro mein...YaAbbas..(4)
hai teri nazro mein tezi haideri shamsheer si..(2)
aa teri aamad ki aye jarraar

6. Shimr ke jab saamne aaya ali ka laadla
ghayz aaya aasteeno ko ulat kar ye kaha
kya kya lade hai khaibar o badr o tabook mein
ye haath pyaas mein na ruke hai na bhook mein
shohrat hai apni jood o sakha ki mulook mein
hatim se bhi sakhi hai sewa hum sulook mein
bigde hai jab to khoon ke darya bahaye hai
sar dediya hai baat pe jis waqt aaye hai
jung aazma hai saff shikan o qal ageer hai
haibat mein, dabdabe mein, adeemun nazeer hai
duniya ke baadshah hai garde sareer hai
is auj par husain ke darr ke faqeer hai
rutbe pe faqr hai, na shaja'at pe naaz hai
gar hai to bus ghulami e hazrat pe naaz hai

tab shimr ne kaha, ke fasahat se kya husool
bay'at unhe, to sulho hame bhi nahi qubool
ghaazi pukara,
O najis o murtad o jahool
lijo na mu se naame jigar gosha e batool
samjha hai kya imam e iraq o hejaaz ko
kutti se khaich lunga zabane daraaz ko
tu kya hai aur kya hai tera wo ameer e shaam
karte hai baadshaah kahin bay'at e ghulaam
tu bhi namak haraam hai, wo bhi namak haraam
O be adab!
Yazeed kuja aur kuja imaam
dozakh se door rehte hai sakin bahisht ke
kaaba kabhi jhuka nahi aage kanisht ke
sunte hi us sher ki lalkaar..
lashkar mein badi dhoom hai..(3)

7.  Masroof the jehaad mein abbas e bawafa
nagaah aayi khaime ke deodi se ye sadaa
kya ab sakina pyaasi hi mar jaye ae chacha
kab tak ladoge fauj se bus ho chuki wegha
sukhe huwe labo'n pe, meri jaan aayi hai
ae noore chashme saaqiye kausar duhai hai

al qissa pohcha sahil e darya pe bawafa
aada se darya cheen ke mashkiza bhar liya
mashko alam sambhal ke khaime ka rukh kiya
barse wo teer mashk chidi aur alam gira
paani na pohcha pyaaso ko aye waaye alqama
baazu kata ke sher bhi darya pe sogaya
aye mazhar o farhan qayamat hui bapa
haatho'n se kamar thaam ke aaye shahe huda
bhai ko zakhmi dekh ke nauha yahi kiya
abbaaasss

kya hai ke aankh band kiye ho haya se tum
kya kuch khafa ho sibte rasool e khuda se tum
aksar, aksar hame bachate the loo se, hawa se tum
ham hath gaye hai gard to jhaado qaba se tum
hai dopahar ka waqt, baradar pe dhoop hai
arey saaya karo alam ka mere sar pe dhoop hai
mere sar pe dhoop hai
mere sar pe dhoop hai