Meri mazlum behna Sakina
Meri masum behna Sakina
Bole Sajjad lasha uthakar
Sakina..x2
(Haye zindan tera watan ban gaya
Khoon bhara tera kurta kafan ban gaya)x2

Kya karu qaidkhana hain yeh ghar nahi
Ghusl dene ko pani mayassar nahi
Aur dafnaoo kaise ke chadar nahi
Bekasi aur gurbat me aye gamzada
Khoon bhara tera kurta kafan ban gaya
Haye zindaan....
Khoon bhara....

Jab tu royi  tamacho ki khayi saza
Baliyan chin gayi aur daman jala
Aur kya ro ke khoon se hain kurta bhara
Haye tujhko kafan bhi nahi mil saka
Khoon bhara tera kurta kafan ban gaya
Haye zindaan....
Khoon bhara...

Tu andheron se darti rahi meri jaan
Baakhte gam me roti rahi meri jaan
Ghar chalo aus kehti rahi meri jaan
Tera armaan pura nahi ho saka
Khoon bhara tera kurta kafan ban gaya
Haye zindaan...
Khoon bhara...

Aisi bichdi ke fir baap se na mili
Chut ke baba se zindaan ki qaidi bani
Haye yeh baat Sajjad ko kha gayi
Haye teeron se unka kafan ban gaya
Khoon bhara tera kurta kafan ban gaya
Haye zindaan...
Khoon bhara...

Tujhko zindaan me baba ka sar jo mila
Tune baba ke muh par jo muh ko rakha
Itna royi ki zindaan larazne laga
Rote rote hi ayi hain tujhko qaza
Khoon bhara tera kurta kafan ban gaya
Haye zindaan....
Khoon bhara...

Kamsini me sitam tune kitne sahe
Char sala yateema main sadqe tere
Bade Ashur soyi nahi chain se
Chain milke bhi tujhko nahi mil saka
Khoon bhara tera kurta kafan ban gaya
Haye zindaan ...
Khoon bhara...

Haye Farhan o Mazhar ajab waqt tha
Us yateema ka jis dam janaza utha
Bibiyon me bapa ek kohraam tha
Sabne sabre Sakina pe nauha kiya
Sakina...x2