(Ya hussain) x6

(Mujpe kyu band karte ho pani, kya muhammad kya pyaara nahi hu) x4

    Mujpe kyu band karte ho pani, kalma goyo muhammad ke shaami, Kya me mehman aya nahi hu. Kya me zehra ka jaya nahi hu

    (Mujpe kyu band karte ho pani, kya muhammad kya pyaara nahi hu) x2
    Mera baba he mushkil kusha (Meri madar bhi hai sayyida) x2 Mera beta hai zainul ibaa (Mere nana ka kalma parha) x2 jiske saye ko tum dhundte ho. Kya me uska hi saya nahi hu

    (Mujpe kyu band karte ho pani, kya muhammad kya pyaara nahi hu) x2
    Tumne maktub likh ke kahi (Ayiye jald ibn-e-ali) x2 Deen ki roshni kam huwi (Sham-e-islam bujhne lagi) x2 Tumne chahaa tha me agaya hu. Khud madine se aya nahi hu

    (Mujpe kyu band karte ho pani, kya muhammad kya pyaara nahi hu) x2
    Das taras me meri kya nahi (Ilm takwa shuja'at yakee(n)) x2 Mere pairo ke niche zamee(n) (jispe rakhe farishte jabee(n)) x2 Mei hi sardar-e-ahle jina hu, koi tuta sitara nahi hu

    (Mujpe kyu band karte ho pani, kya muhammad kya pyaara nahi hu) x2
    Meri gardan pe khanjar chale (aag lagti hai ghar me lage) x2 Bint-e-zehra ki chadar chine (hath dunga na apna tujhe) x2 hath mera ye dast-e-khuda hai, mai to munkir khuda ka nahi hu

    (Mujpe kyu band karte ho pani, kya muhammad kya pyaara nahi hu) x2
    Sath zehra ki hai betiya (mohtaram inka koi kaha) x2 pyas ki dhoop ki sakhtiya (sabke chehre huwe hai dhuwa) x2 betiya fatema ki hai pyasi, sirf ik me hi pyasa nahi hu

    (Mujpe kyu band-e karte ho pani, kya muhammad kya pyaara nahi hu) x3
    Hukm abbas ko du agar (nehr le aaye wo cheen kar) x2 Karbala hogi zeyr-o-zabar (Laash serengi har mouj par) x2 Mei nahi chahta jang karna. Fauj larne ko laaya nahi hu

    (Mujpe kyu band-e karte ho pani, kya muhammad kya pyaara nahi hu) x3
    Ghunji hal min ki aisi sadaa (Sheh ko "Rehan" kehte sunaa) x2 Ya Ali ya Ali eliya (Waqt imdad ka agaya) x2 Mere bache bhi lagte he pyaase. Phir bhi kya muskuraya nahi hu.

(Mujpe kyu band-e karte ho pani, kya muhammad kya pyaara nahi hu) x3