(Sham, haye Sham).. (3)
(Haye haye Sham) .. (6)
(Haye Sham) .. (2), Haye haye sham
(Haye Sham).. (2), Haye haye Sham

(1) Mere NANA ka kalma padhte ho
Insaaf karo aye Sham walo.. (2)
Meri maa ZAHRA , Baba hai ALI
Wawaila, haye wawaila
Aye logo mera NANA hai nabi
Main ZAINAB  hoon kuch sharm to karo

(Na cheeno chadar meri,
Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)
Na cheeno chadar meri

(2) Main Yasrab ki Shehzadi hoo'n
hai bhai mere Sardaar e Jina
Main sharm o haya ki makhdooma
hai iski gawaahi kaun o makaa
hai mere labo'n par gham ki azaa'n
wawaila haye wawaila
Chadar jo chini mar jaugi
Main ZAINAB   hoon, kuch sharm toh karo

(Na cheeno chadar meri,
Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)
Na cheeno chadar meri

(3) Bhai pe mere kyu baaghi ke
ilzaam lagaye hai tumne
Saadaat ki aamad se pehle
bazaar sajaye hai tumne
Gham mere badhaye hai tumne
wawaila haye wawaila
Dil thaam ke mai yeh kehti rahi
Main ZAINAB  hoon, kuch sharm karo

(Na cheeno chadar meri,
Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)
Na cheeno chadar meri

(4) Is tarah MOHAMMAD ke dil ko
tum logo ne paamaal kiya
Sadqe ki khajuro'n se tumne
saadaat ka isteqbaal kiya
Sadmo'n ne mera yeh haal kiya
wawaila haye wawaila
Tasbeeh meri yeh baat bani
Main ZAINAB hoon kuch sharm karo

(Na cheeno chadar meri,
Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)
Na cheeno chadar meri

(5) Galiyo me charagha hota hai
aur AAL E PAYAMBAR roti hai
Naize pe baradar rota hai
aur AAL E PAYAMBAR roti hai
Is baat pe khwahar roti hai
wawaila haye wawaila
Tum hanste rahe mai roti rahi
Main ZAINAB  hoon, kuch sharm  karo

(Na cheeno chadar meri,
Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)
Na cheeno chadar meri

(6) Baalo'n ki safedi par meri
meelo'n ki musafat roti hai
Na paak nigaahein uthti hai
SAJJAD ki ghairat roti hai
Is baat pe qismat roti hai
wawaila haye wawaila
Be jurm o khata kyu qaidi bani
Main ZAINAB hoon, kuch sharm karo

(Na cheeno chadar meri,
Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)
Na cheeno chadar meri

(7) Be parda mujhe dekha hi nahi
Suraj ne kabhi BABA ki qasam
Mehmil ke bina nikli na kabhi
hai yaad mujhe woh jaah o hasham
Karti hoon buka har ek qadam
wawaila haye wawaila
Mehmil ke bina main Sham chali
Main ZAINAB hoon,kuch sharm karo

(Na cheeno chadar meri,
Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)
Na cheeno chadar meri

(8) Taareekh e sitam dohrayi gayi
mujhe jiteji jo maar gayi
AMMA ki tarah se ZAINAB bhi
peshi ke liye darbaar gayi
Aur sar se mere dastaar gayi
wawaila haye wawaila
Darbaar talak yeh kehti gayi
Main ZAINAB hoon, kuch sharm karo

(Na cheeno chadar meri,
Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)
Na cheeno chadar meri

(9) Hai kund zabaane aur qalam
ashko'n ko zabaa'n kar sakte nahi
Irfan aur Mazhar chahe bhi
zakhmo'n ko ayaa'n kar sakte nahi
Rudaad bayaa'n kar sakte nahi
wawaila haye wawaila
Kyu kehna pada BIBI ko meri
Main ZAINAB hoon, kuch sharm karo

(Na cheeno chadar meri,
Main ZAINAB  hoon ,kuch sharm toh karo).. (2)
Na cheeno chadar meri