Haaye...
Jab karbala ki simt badha haq ka rahnuma..
kuch aagaya khayal jo maa ke mazaar ka
aaya sue baqi wo... zahra ka laadla
rukhsaar rakhke sadre lahad, par ye di sadaa
chhut-ta hai ab madina mere, dil ko thaam lo
amma ghareeb bete ka aakhir salaam lo

amma tumhare laal se, chut-ta hai aaj ghar
amma tumhare laal se, bargashta har nazar
amma tumhare laal ka dushman hai har bashar
amma tumhare laal ka hai aakhri safar
sehra mein dil ke tukdo'n ki basti basaega
amma hussain ab na madine mein aayega

maa se ye keh raha tha abhi maa ka laadla
awaaz aayi qabr se, aye mere mehlaqa
sadqe teri musibat o ghurbat ke fatema
bus aye hussain bus ke hila, arshe kibriya
tadpe ab hasan bhi dile beqaraar se
beta rasool e haq nikal aaye mazaar se

aye mere laal tere iraado'n ke mai nisaar
ye aakhri safar hai mere dil ka izteraar
kaise kahu'n jo dil pe guzarti hai gul azaar
hota hai be charaagh mere baap ka mazaar
jo tujh pe zulm honge ye dukhiya uthayegi
beta ye ghum-naseeb tere saath jayegi

aansu bahaungi tere ranjo alam ke saath
aankhein bichaungi tere nakshe qadam ke saath
zehra nedhaal hogi har ek taaza ghum ke saath
mera kaleja niklega akbar ke dum ke saath
ghabra na mere laal har ek dukh bataungi
mai tere saath laasha e akbar uthaungi

jaaega tu jo neher pe bhai ki laash par
mai tere saath saath chalungi barehna sar
beta hussain kya tujhe is ki nahi khabar
abbas tera bhai to mera dilo jigar
tu laashe layega to safe ghum bichaungi
mai god mein kate hue haatho'n ko laungi

beta hasan ke laal ki khatir ye kya malaal
mere hasan ne tujhpe nichawar kiya wo laal
fidye ke waaste koi karta hai yu malaal
beta mai us ghadi bhi rahungi shareek e haal
ghum hai qadam uthake dile paash paash ke
tukde chunungi rann mein mai qasim ki laash ke

haan mere laadle meri zainab se hoshiyaar
be parda ho na jaye kahi'n meri pardadaar
mehmil ke saath saath ho abbas e zee'n weqaar
takeed ho ye akbar e mehroo ko baar baar
aamada har qadam pe rahe peshwayi ko
takleef ho na raah mein zehra ki jaayi ko

jaa marqad e rasool pe aye mere laal afaam
lazim hai nana jaan ko bhi aakhri salaam
dena meri taraf se ye hasrat bhara payaam
mumkin nahi madine mein zehra kare qayaam
tum bhi lahu mein apna chaman dekhne chalo
zainab ke bazuo'n mein rasan dekhne chalo..(2)