Yasrib mein aayi khaab mein zainab ke yun butool

Maatha bhara tha khun mein sar par rida na thi

Zainab ne puchha kiske lahu se jabeen hein laash

Amma tum par to aafatein safare karbala na thi

Ro kar kaha butool ne tum yaad to karo

Tum apni yaad ko zara abaad to karo

Kis waqt kis jagah mein shareeke aza na thi

Ye maa kahaan na thi

Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi

Ye maa kahan na thi

    Royi tumhare saath bahattar ki laash par

    Akbar ki lash par ali asghar ki lash par

    Zainab mein kis shaheed ki sahib aza na thi

    Ye maa kahan na thi

    Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi

    Ye maa kahan na thi
    Jhara tha kisne balon se sehrae karbala

    Kisne bichhaya aake musallae karbala

    Haye haye me karbala mein shabe qatl kya na thi

    Ye maa kahan na thi

    Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi

    Ye maa kahan na thi
    Rakhte qauhan hussain ne manga tha jis ghari

    Khaime mein bibi tum ko ghash aya tha jis ghari

    Khaime ke peechhe rone ki meri sada na thi

    Ye maa kahan na thi

    Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi

    Ye maa kahan na thi
    Rukhsat ko aya khaime mein jab ibne bu turab

    Thami thi tumne jis ghari mazloom ki rakaab

    Kyaa sath sath ghore ke mein nnd paa na thi

    Ye maa kahan na thi

    Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi

    Ye maa kahan na thi
    Jab tum giri thi bhai ke laashe pe unt se

    Naaqe pe tum sawaar thi bazu rasan mein the

    Kya baal khole laashe pe khairun nisa na thi

    Ye maa kahan na thi

    Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi

    Ye maa kahan na thi
    Yasrab se taaba maariya aur wahan se taba sham

    Hamraah thi qadam ba qadam saath gaam gaam

    Zainab kahi hussain se zehra juda na thi

    Ye maa kahan na thi

    Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi

    Ye maa kahan na thi
    Zainab ye arz ki ke baja kehti he janaab

    Mein sunrahi hun jo ba khuda kehti hein janaab

    Ay waalida mujhe khabare dasto pa na thi

    Ye maa kahan na thi

    Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi

    Ye maa kahan na thi
    Imsaal bhi najaf ka irada tha ay "dabeer"

Aur karbala bhi jaaoun ye socha tha ay "dabeer"

Par rehgaye tarap ke ke kismat rasa na thi

Ye maa kahan na thi

Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi

Ye maa kahan na thi