Ye me hu me meri tanhayi. Ye tamashayi. Lo ayi gyaara muharram hai.

Kya khabar layi. Chali ye janibe zindan tumhari maa jayi.

Sawaar-e ham ne kiya tha tumhe mere bhayi.

1. (Ab awo ya mujhe kehdo na intizaare karo) x3

(Utho hussaine bahan ko zara sawaare karo) x2

2. Sawar hum ne kiya tha, tumhe dame rukhsat,

Lagaam thaam thi maine, bahaa late rikat,

kahaa gayi wo muhabat, kahaa gayi chahat,

(tamam apna mere sarpe, saaya baar karo) x2

(Utho hussaine bahan ko zara sawaare karo) x2

3. Watan se door hu kuch aur, door jaati hu,

Utho utho mere bhaya, tumhe jagaa ti hu,

Koyi bhi aata nahi mai, jise bulaa ti hu,

(Karaar jab mere mujko na, bekaraar karo) x2

(Utho hussaine bahan ko zara sawaare karo) x2

4. safar madine se kaisa tha, ye safar kya hai,

Na mehmile he na haudaj, na koi parda hai,

Ay sar mein khwab ye karbobala ka sehra hai,

(na jee sakungi tere baad, etebar karo) x2

(Utho hussaine bahan ko zara sawaare karo) x2

5. Dare furat pe ay sone, wali jaag zaraa,

Alam ke saye me rukhsat, bahan ko kar bhaya,

Suna hai sakht kathan hai, ye sham ka rasta,

(Sehen ye raasta abbas se, naamdaar karo) x2

(Utho hussaine bahan ko zara sawaare karo) x2

6. Mein awoongi mere bhaya, zuroor awoongi,

Kafan urhawungi markad, tera banawoongi,

Jahaa bhi jawoongi farshe, azaa bichaawoongi,

(mein kayd kaat ke lot awoo, intizar karo) x2

(Utho hussaine bahan ko zara sawaare karo) x2

7. (Ab awo ya mujhe kehdo na intizaare karo) x2