Siyah raat mai

Zindan ke dar pay ro ro kai

Sakina kehti hai, baba ye shab sata ti hai

Judaye aap ki, us par ye khak ka bistar

Kahin andhaire mai bachon ko neend uraati hai

Ye sun kay Zainab-e-mazloom boli gham na karo

Kahani kehti hu may ek, suno sakina suno

Sakina kahani suno, sakina kahani suno

    ek shahanshah tha, haye sakina, ek shahanshah tha, yasrab mai raha karta tha, us ka ghar wo tha kay quran jahan utra tha, dar pay Gibreel ka darban raha karta tha, us ka angan bhi sitaro say bhara rehta tha, uskai darwazai say khali na koi ja ta tha, asman us ki sakhawat ki qasam khata tha

    (haye sakina kahani suno)x2
    uskai baba ko dar-e ilm kaha jata tha, maa nai shahzadi-e Qawnain laqab paya tha, us kai baiton mai nazar aks-e nabi ata tha, baitiyon ko gule pakiza kaha jata tha, us kai ek bhai ki rag rag mai wafa behti thi, ek bahan sath me saye ki tarha rehti thi

    (haye sakina kahani suno)x2
    ek din kia hoa, haye sakina, ek din kia hoa, wo ghar say safar par nikla, uska sab kunba bhi quran ki hifazat ko chala, ashkia nai usai pher dashtai bala me ghaira, teen din tak use pani bhi mayyassar na hoa, ho gaye aam har ek joro jafa us kai liye, or phir jang ka maidan saja us kai liye

    (haye sakina kahani suno)x2
    us kai ek baitay kai sinay me sina toot, gaye bhai kay hath katay, tir laga, mashk chidee, lash pamal bhatijae ki bhi maqtal mai huwi, bay zuban qatl hoa, khasta churee us pay chali, us shahanshah kai kunbay pai ghareebi chayee, bujh gaye sarai diyai shameghariban aye

    (haye sakina kahani suno)x2
    khaymai jalnai lagay nazdeek sitamgar aaye, us shahanshah ki bachi nai tamachai khaye, kaan zakhmi howai khun ankhon say tapka haye, dhundnai bap ko maqtal mai wo kaisay jai, jaltai daman ko liye ganjai shaheedan mai gaye, rassi gardan mai bandhi shaam kay zindan mai gaye

    (haye sakina kahani suno)x2
    phir sakina nai kaha, haye sakina, phir sakina nai kaha rehtai hain wo loog kahan, boli zainab kai howay sab wo asirai zindan, qissa akhir hoa neend aayi na tumko meri jaan, boli ro ro kai sakina phuphi ab neend kahan, tum to kehti thi kahani suno neend aati hai, is kahani say meri neend uri jati hai

    (haye sakina kahani suno)x2
    boli ro ro kai sakina ye mera qissa hai, is kahani ka shahanshah mera baba hai, neza jis kay laga Sinai main mera bhayya hai, mera asghar hai la’eeno nai jisai mara hai, bay rida tum ho phuphi jaan meri jaati hai, ye kahani to merai ghar ki nazar aati hai

    (haye sakina kahani suno)x2
    jisko Sinai pe shahanshah kai neend aati thi, dasht-e main haye chacha keh kai jo chillati thi, jiskai kaano say laho behta tha jo piyasi thi, apnai baba ki jodaye main mari jati thi, us shahanshah ki baiti wo sakina mai hon, jis ka dushwar huwa qaid main jina mai hon

(haye sakina kahani suno)x2

    Khatm jab shaam ke zindaan mai kahani ye huwi, wo jo sunti thi kahani wo sakina na rahi, thame zanjeer naa kahast se utha ek qaidi, ek nanni si lahad kapte haatho se bani, sar shahenshah ka godi me lahu rota tha, wa hussaina ka bas ek shor bapaa hota tha