qaidi hun mein baba jaan
ab shaahzaadi kahaan
qaidi hun mein baba jaan
ab shaahzaadi kahaan

na apna wo ghar hai na apna madina
wo baahein tchachaa ki tumhaara wo sinaa
bolo khudaara tum ho kahaan mein kahaan
qaidi hun mein baba jaan

jis din se tumse judaa ho gayi hun
dekho to baba mein kya ho gayi hun
ujra makaan hai rehti hun ab mein jahaan
qaidi hun mein baba jaan

kehti na thi dekho na jaawo baba
taras khaawo mujh par taras khaao baba
tum kya gaye ho mujh par ghira aasmaan
qaidi hun mein baba jaan



jaise hi neze pe tum aaye baba
maine tamaache bohot khaaye baba
rukhsaar par hain abhi tak sitam ke nishaan
qaidi hun mein baba jaan

maanga kaneezi me baba kisi ne
phenka meri samt sadqa kisi ne
paidal chali hun kaanton ke mein darmyaan
qaidi hun mein baba jaan

milne ko ham se tchale aawo baba
ek baar tchehra dikha jaawo baba
ay pyaare baba phir ham kahaan tu kahaan
qaidi hun mein baba jaan

tchalo shaam tchalte hain rehan o sarwar
vahaan dekhna kya hai tchehlum ka manzar
bibi sakina karti hai ab tak fughaan
qaidi hun mein baba jaan

ab shaazaadi kahaan