Jane lage shabbir to sughra ne kaha. Le chalo mujko bhi bimar tumhe dengi dua. Ho jaana khafaraha me gar rowengi sughra. Ya ninde kab aati hai, jo wa soyengi sughra. Baba. Baba. Tanhiyi sazaa hai muje, aisi na sazaa do. Mein yeh nahi kehti ke, amaari me bitha do.

(Mein yeh nahi kehti ke, amaari me bitha do) x2

    Baba. Baba. Baba muje fiza ki sawari me bitha do

    (Mein yeh nahi kehti ke, amaari me bitha do) x2
    Sab bethe sawari pe, me pedal hi chalungi. Wada hai kisi ko koyi, taklif na dungi. Baba. Baba. Amaa se me har giz na kahungi ke dawaa do.

    (Mein yeh nahi kehti ke, amaari me bitha do) x2
    Palko se me saya ali asghar ke karungi. Amaa ki sawari se, bahot dur rahungi. Baba. Baba. Ha kehke meri jist ke kuch roz barhado.

    (Mein yeh nahi kehti ke, amaari me bitha do) x2
    Me pani pilawungi, sawaari ko tumhari. Behlawungi raste me, sakina ko tumhari. Baba. Baba. Jo kam kanizo ki hai, sab mujko bataa do

    (Mein yeh nahi kehti ke, amaari me bitha do) x2
    Sab nazre churaate hai, koi dam nahi bharta. Sach hai koi murde se, muhabbat nahi karta. Baba. Baba. Tawkire meri ye hai, to marne ki dua do.

    (Mein yeh nahi kehti ke, amaari me bitha do) x2
    Kya guzrengi jab garse, chale jayenge akbar. Kaise muje har Baat me yaad ayenge akbar. Baba. Baba. Kab ayenge lene muje, bhaya ye bataa do.

    (Mein yeh nahi kehti ke, amaari me bitha do) x2
    Ha apni muhabbat ka me, izhaar to karlu. Thehro ali asger ko, zaraa pyaare to karlu. Baba. Baba. Na kaise jalak nane musafir ki dikhado.

    (Mein yeh nahi kehti ke, amaari me bitha do) x2
    Baba. Baba. Baba muje fiza ki sawari me bitha do

(Mein yeh nahi kehti ke, amaari me bitha do) x2