(Ya Hussain) x2

Ma’bud taqabbal minna

(Mein rahun ya na rahun) x2
Mera islam rahega
Mera pegham rahega
(Mein rahun ya na rahun) x2

1. Ay foje ashqiya mera islam rahega
Quran rahega mera peghaam rahega
(Mein rahun ya na rahun) x2
Mera islam rahega
Mera pegham rahega


(Mein rahun ya na rahun) x2



2. Jab zohr tak hussain bahattar ko rochuke
Akbar ko rochuke Ali Asghar ko rochuke
Ik dopahar mein bawafa lashkar ko rochuke
Phir foje bad nasab se mukhatib huwe imam
Hujjat tamam karta hun sunlo mera payaam


(Mein rahun ya na rahun) x2
Mera islam rahega
Mera pegham rahega
(Mein rahun ya na rahun) x2



3. Farmaate the hussain ke mein be kasoor hun
Roshan he tumpe chashme payambar ka noor hun
Faqon se mein nidhal hun zakhmon se chhur hun
Zakhmon pe zakhm pyaas ki shiddat mein khawunga
Lekin mein nana jaan se wada nibhaunga


(Mein rahun ya na rahun) x2
Mera islam rahega
Mera pegham rahega
(Mein rahun ya na rahun) x2



4. Darya ko tum ne chheen liya maine kuchh kaha
Pani dikha dikha ke piiya meine kuchh kaha
Daagh akbare jawaan ka diya meine kuchh kaha
Haq par hun mere haq mein sina bolrahi he
Sun lo who azan meri zubaa(n) bol rahi he


(Mein rahun ya na rahun) x2
Mera islam rahega
Mera pegham rahega
(Mein rahun ya na rahun) x2



5. Maqsad he lailah ki baqa aur kuchh nahin
wada ho zere tegh wafa aur kuchh nahin
Iske siwa labon pe dua aur kuchh nahin
Razi ho mujhse mera khuda chahta hun mein
Mein hun hussain sab ka bhala chahta hun mein


(Mein rahun ya na rahun) x2
Mera islam rahega
Mera pegham rahega
(Mein rahun ya na rahun) x2



6. Maqsad nahin he jang hamara khuda gawah
Khat bhejke he tumne bulaya khuda gawah
Bejurm tumne mujhko sataya khuda gawah
Khanjar tale baland mein takbir karunga
Apne lahu se khak pe tehreer karunga


(Mein rahun ya na rahun) x2
Mera islam rahega
Mera pegham rahega
(Mein rahun ya na rahun) x2



7. Mein aur karun yazeed ki bay’at nahin nahin
Badlun ajal ke dar se shariyat nahin nahin
Jeene ke badle chorun shahadat nahin nahin
Tum kon ho naqaab rukhon se hataounga
Mein kon hun ye noke sina par bataaounga


(Mein rahun ya na rahun) x2
Mera islam rahega
Mera pegham rahega
(Mein rahun ya na rahun) x2



8. Aakar dare khayam pe zainab ko di sada
Aa ay mere ghareeb behen aakhri dua
Le aakhri salam hussaine ghareeb ka
Maqsad he mera ka ye sabaq tujhko yaad he
Meri shareeke kaar mujhe etemaad he


(Mein rahun ya na rahun) x2
Mera islam rahega
Mera pegham rahega
(Mein rahun ya na rahun) x2

Zainab tarap ke boli ke bhaya samajhgayi
Bhaiya tere ishaare ko behna samajh gayi
Mein kya teri ghareeb Sakina samajh gayi
Khutbon se mein hilaungi qasre yazeed ko
Marne na dungi ab mein kisi bhi shaheed ko

Hal min nasirin yansurna



9. Uthtaa ghobar zulm karakti he bijliyan
Zee(n) se gire hussain uthi surkh aandhiyan
Nagaah sar hussain ka aaya sare sina
Quran suna ke sayyade mazloom ne kaha
Lo nanajaan wada wafa meine kardiya


(Mein rahun ya na rahun) x2
Mera islam rahega
Mera pegham rahega
(Mein rahun ya na rahun) x2

Ma’bud taqabbal minna



10. Ay “sarwaro rehan” ye lamha ajeeb he
Neze pe lab kusha ye hussaine ghareeb he
Zainab tumhari shame gharibaan kareeb he
Sab kuchh tere hawaale he ab tum sambhalna
Apna khayaal rakhna Sakina ko paalna