(Yasrab nazar aaya) x4

Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya

(Yasrab nazar aaya) x2

Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya

(Yasrab nazar aaya) x2

(Apna tha watan aur) x3

paraya nazar aaya

Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya

Apna tha watan aur

paraya nazar aaya

(Yasrab nazar aaya) x2

1. mun dhamp ke rone lagi ahmed ki nawaasi,

viraan taro baam the allah ki udasi,

(ujra bani hashim ka) x3

Mehella nazar aaya

Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya

Apna tha watan aur

paraya nazar aaya

(Yasrab nazar aaya) x2

2. Wo galiya jaha awno muhammad kabhi khele,

Abdulla wahaa phirte the khamosh akele,

(har simt me bacho ka) x3

sarapa nazar aaya

Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya

Apna tha watan aur

paraya nazar aaya

(Yasrab nazar aaya) x2

3. Sugra ne khabar payi ke lawt aaye musafir,

Khush hogayi roze pe nabi ke koyi hazir

(Kya socha tha sugra ne) x3

use kya nazar aaya

Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya

Apna tha watan aur

paraya nazar aaya

(Yasrab nazar aaya) x2

4. ujri huwi har maang ti har god thi khali,

asger ka shalo ka tha sakina ki thi baali,

(abbas ka parcham bhi) x3

akela nazar aaya

Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya

Apna tha watan aur

paraya nazar aaya

(Yasrab nazar aaya) x2

5. Jis waqt ruki nana ke roze pe amaari,

Na khese giri khak pe wo dard ki maari,

(rota huwa nana ka) x3

jo chehra nazar aaya

Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya

Apna tha watan aur

paraya nazar aaya

(Yasrab nazar aaya) x2

6. sugra ne kaha amaa se kyu god hai khali,

kis aaha bhari banu ne kuch moo se na boli,

(rone lagi jalta huwa) x3

jula nazar aaya

Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya

Apna tha watan aur

paraya nazar aaya

(Yasrab nazar aaya) x2

7. Bin bhayi ke dakhil huwi jo apne hi gar me,

Gash aagaya takat na rahi kalbo jigar mein,

(be goro kafan bhayi ka) x3

laasha nazar aaya

Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya

Apna tha watan aur

paraya nazar aaya

(Yasrab nazar aaya) x2

8. ujre me nazar aaye nahi qasimo akber,

kehne lagi mein chor gayi thi ye bhara gar,

(har kabr ke mahol mein) x3

dhalta nazar aaya

Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya

Apna tha watan aur

paraya nazar aaya

(Yasrab nazar aaya) x2

9. Bistar to waha awno muhammad ke saje the,

Aur taak mein asgher ke khilone bhi rakhe the,

(lekin na koyi khelne) x3

waala nazar aaya

Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya

Apna tha watan aur

paraya nazar aaya

(Yasrab nazar aaya) x2