Yaa hussain

Ya hussain, ya hussain

(Kullo yaumin ashura, kullo arzin karbala) x2

(Yaa abal abrar) x2 Yaa hussain

    Kabhi nabi ke kalmago the kabhi namazen parte the Karbobala me sibte nabi ke khoon ke lekin pyase the

    (Hifz kiya quraan magar ye qaule nabi naa yaad raha) x2

    (Har kuleman haramahum wa silmun liman saal mahum) x2

    Inse rifaqat mujhse rifaqat inka adu dushman hai mera

    (Yaa abal abrar) x2 Yaa husain

    Yaa husain, yaa husain. (Kullo yaumin aashura Kullo arzin karbala) x2 (Yaa abal abrar) x2 Yaa husain
    Sab ko khabar hai sabko pata hai khuld bari ke malik hai

    Saaqi-e-qausar kasime jannat arsho zami(n) ke malik hai

    (Shimre sitamgar such zara to kaat raha hai kiska gala) x2

    (Ad gule man ada hum va mohibbun leman ahbahum) x2

    Inka adu hai mera dushman, dost hai inka dost mera

    (Yaa abal abrar) x2 Yaa husain

    Yaa husain, yaa husain. (Kullo yaumin aashura Kullo arzin karbala) x2 (Yaa abal abrar) x2 Yaa husain
    Laymo ka laymi damo ka dami nafso ka nafsi jin ko kaha

    Pyar na bas hasnayno zahera maula ali thi zere kissa

    (Sad afsos bhulaya tumne kaule rasule akram ka) x2

    Ruhe payambar ruhe zahera keyu na kare phir vavayla

    Yaa husain, yaa husain. (Kullo yaumin aashura Kullo arzin karbala) x2 (Yaa abal abrar) x2 Yaa husain
    Jiske liye tathir ki chadar aayat ban kar aayi thi

    Dasht-e-bala me nange sar wo zaynab, zahera jayi thi

    (Balo se parda karti thi karti thi ye aaho buka) x2

    Qatl kiya mere bhai ko chhinli mere sarse rida

    Yaa husain, yaa husain. (Kullo yaumin aashura Kullo arzin karbala) x2 (Yaa abal abrar) x2 Yaa husain
    Bade nabi ke zulm uthhaye ahele sitam ne zahera par

    Qati kiya jalti reti par binte nabi kaa lakhte jigar

    (Ik taraf tha pyas kaa chehra ek taraf behta dariya) x2

    laasha-e-sarvar ahle jafaa ne ghoro(n) se pamal kiya

    Yaa husain, yaa husain. (Kullo yaumin aashura Kullo arzin karbala) x2 (Yaa abal abrar) x2 Yaa husain
    Subhe dahem shabbir ne jab akber se kaha azan kaho

Wale shahadat aa pahucha hai shukre khuda har aan karo

(Ham nati ke quraan hain beta quraan suno quraan paro) x2

Teri aza aagaz hai beta our anjam sajda mera

Yaa husain, yaa husain. (Kullo yaumin aashura Kullo arzin karbala) x2 (Yaa abal abrar) x2 Yaa husain