(Haye hussaina) x4

(Kehti thi zainab, haye hussaina) x2

(Hogayi barbad ye behna, karbobala me) x2 Kehti thi zainab, haye hussaina

    Karbobala kuch na diya karbo aziyat ke siwaa, mere daman me bacha kya hai musibat ke siwa (Karbala tujse mila kya hai kayamat ke siwaa) x2 (Kehti thi zainab, haye hussaina) x2

    (Hogayi barbad ye behna, karbobala me) x2 Kehti thi zainab, haye hussaina
    Subhe ashur azaane ali akbar ki kasam. Mere bhayi pe chale tir hazaaro payham (Chup rahi karbobala hote rahe ham pe sitam) x2 (Kehti thi zainab, haye hussaina) x2

    (Hogayi barbad ye behna, karbobala me) x2 Kehti thi zainab, haye hussaina
    Mera athara baras wala jiya laa akbar. Kha gayi uske bhi ay karbobala teri nazar (Mene dekha he isi laal ka barchi me jigar) x2 (Kehti thi zainab, haye hussaina) x2

    (Hogayi barbad ye behna, karbobala me) x2 Kehti thi zainab, haye hussaina
    Bhayi athar the do bete the koyi na raha. Ab to tanhayi meri deti he mujko pursa (Kya bhara gar tha mera kar diya mujko tanha) x2 (Kehti thi zainab, haye hussaina) x2

    (Hogayi barbad ye behna, karbobala me) x2 Kehti thi zainab, haye hussaina
    Mere abbas pe kya guzri batawu kese. Mashk ik bharne me do bazu kalam ho ke gire (Uske marne se he mehrum behen chadar se) x2 (Kehti thi zainab, haye hussaina) x2

    (Hogayi barbad ye behna, karbobala me) x2 Kehti thi zainab, haye hussaina
    Bekhata katl huwa bhayi mera jangal me. Saynkhro zakhm kaleje pe lage ik pal me (Aag pani ne laga di hai mere anchal me) x2 (Kehti thi zainab, haye hussaina) x2

    (Hogayi barbad ye behna, karbobala me) x2 Kehti thi zainab, haye hussaina
    Mere allaha muje shaam talak janaa hai. Koyi bhi apna nahi shehr bhi beganaa hai (Teri kush nudi me rasi me mera shaana hai) x2 (Kehti thi zainab, haye hussaina) x2

(Hogayi barbad ye behna, karbobala me) x2 Kehti thi zainab, haye hussaina