(Ya hussain, ya Hussain) x2

(Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x4

    Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

    (Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2
    (Farq hai us dil ke jo ho hubbe Ali se abaad) x2

    Usse behter koi dunya mei makaan aur bhi hai

    Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

    (Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2
    (Naam-e-Shabbir pe be sakhta girya hona) x2

    Baade qalme ke ye imaan ka nishaan aur bhi hai

    Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

    (Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2
    (Barchiyaa(n) maarke Akbar ko pukaare ada) x2

    Sheh se poocho koi farzand-e-jawaa(n) aur bhi hai

    Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

    (Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2
    (Falake peer tujhe sheh ki zaeefi ki qasam) x2

    Ali Akbar sa zamaane mei jawaan aur bhi hai

    Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

    (Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2
    (Maa(n) ne qasim se kaha subho ko tum hoge shaheed) x2

    Is liye biyaah ki jaldi meri jaan aur bhi hai

    Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

    (Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2
    (Baal khole huwe laashe pe jo ayi Zahra) x2

    Khul gaya hur pe dam-e-nazra ke maa(n) aur bhi hai

    Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

    (Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2
    (Apne farzando ke marne pe bhi girya na kiya) x2

    Daher mei Zainab-e-mazloom si maa(n) aur bhi hai

    Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

    (Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2
    (Sheh se Zainab ne kaha tum jo ho mushtaq-e-qaza) x2

    Meri Amma ka koi fateha khwaan aur bhi hai

    Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

    (Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2
    (Laashe pamaal sar-e-shaam jo hote hai "nazeer") x2

Baagh-e-zahra pe sitam baagh-e-khizaan aur bhi hai