Paro Kalma Nabi ka Ka Musalmano

(Haa(n) Karo Matam Husain ka azadaro) x5

    Deen Ne Maula Shabbir Ko di sada

    Amma Zehra Ke Markaz se Rukhsat Huwa

    Lab Pe Naame Khuda Dil me Thi Karbala

    Din Bhi Gharmi Ke The Saath Bachcho(n) Ka Tha

    (Phir Bhi Marne Wo Chala Masalmano) x2

    (Haa(n) Karo Matam Husain ka azadaro) x3
    Shaih Ke Hamraah Thi Bibiya Betiya(n)

    Nawjawaa(n) Saath the saath tha Bezuba(n)

    Haaye kis Shaan se wo huwe the rawaa(n)

    Ek bimar leti rahi hichkiyaa(n)

    (Shor mataam utha tha musalmano) x2

    (Haa(n) Karo Matam Husain ka azadaro) x3
    Do Muharram ko karbobala Aa Gaye

    Alqama ke kanare jo khaime lage

    Ashkiya ne kaha Aakar shabbir se

    Apne Khaime yaha se utha lijiye

    (Waqt kya Aa gaya tha musalmano) x2

    (Haa(n) Karo Matam Husain ka azadaro) x3
    Khatm qarbobala Me larayi Hui

    Saari fauje khuda khak par soo gai

    Aai Shaame Gariba Raha Na Koi

    Itrate Mustafa Sue Zindan Chali

    (Nange sar bibiyaa(n) hai musalmano) x2

    (Haa(n) Karo Matam Husain ka azadaro) x3
    Haaye Bazare Kufa Ka who marhala

    Betiyaa(n) thi mohammad ki jab be rida

    Gir ke naako se Bacho ki thi ye sada

    Alwida Madare Gamzada Alwida

    (Aasman Ro Raha tha Musalmano) x2

    (Haa(n) Karo Matam Husain ka azadaro) x3
    Mere sajjad boli ye binte ali

    Jaanti hai mujhe shaam ki har gali

    Khaak urhawo ke mujh ko na dekho koi

    (Yeh tha zainab ka nawha Masalmano) x2

    (Haa(n) Karo Matam Husain ka azadaro) x3
    Bole Sajjad hatho(n) me zanjir hai

Be ridai phuphi Ab to taqdir hai

Sabr aale Mohammed ki Jagir hai

Hum hai Aale Nabi bas Yeh Teksir Hai

(Keh ke Ye Ro Diya tha Masalmano) x2

(Haa(n) Karo Matam Husain ka azadaro) x3