(Hussain hussain hussain) x3

(Mere lahu ke har qatre mei gunj raha hai ya Hussain, ab to sabka vird zubaa(n) bhi rehna laga hai ya Hussain) x2

    Aap ki kya shaan hai maula, bolta quran hai maula

    Fatema ki jaan hai maula, Marzi-e-subhan hai maula

    (Mere lahu ke har qatre mei gunj raha hai ya Hussain, ab to sabka vird zubaa(n) bhi rehna laga hai ya Hussain) x2
    Karbala ka fat'he azaam bakhuda hai waris-e-Adam

    Jabajaa phehle tere par aam ta abad hoga tera matam

    (Mere lahu ke har qatre mei gunj raha hai ya Hussain, ab to sabka vird zubaa(n) bhi rehna laga hai ya Hussain) x2
    Teen din ki tishnagi maula haaye teri bekasi maula

    Khushk ghardan par churi maula, karbala kehti rahi maula

    (Mere lahu ke har qatre mei gunj raha hai ya Hussain, ab to sabka vird zubaa(n) bhi rehna laga hai ya Hussain) x2
    Kistarha bhoolenge wo manzar jab chala tha halk pe khanjar

    Jab sina ki nok pe tha sar bol tha Qur'an tere lab par

    (Mere lahu ke har qatre mei gunj raha hai ya Hussain, ab to sabka vird zubaa(n) bhi rehna laga hai ya Hussain) x2
    Ye sabile ye azakhana aankh mei ashko(n) se paymaane

    Matmi laaye hai nazraane ab janaab-e-sayyeda jaane

    (Mere lahu ke har qatre mei gunj raha hai ya Hussain, ab to sabka vird zubaa(n) bhi rehna laga hai ya Hussain) x2
    Ye teri maula azadari zindagi se bhi hame pyaari

    Hai yahi tujse wafadari ashk ankho(n) se rahe jaari

    (Mere lahu ke har qatre mei gunj raha hai ya Hussain, ab to sabka vird zubaa(n) bhi rehna laga hai ya Hussain) x2
    Waris-e-Qur'an zindabaad rehbar-e-insaan zindabad

    Mazhar-e-imaan zindabad fatema ki jaan zindabad

    (Mere lahu ke har qatre mei gunj raha hai ya Hussain, ab to sabka vird zubaa(n) bhi rehna laga hai ya Hussain) x2
    As-salaam ay malike kausar as-salaam ay kushta-e-khanjar

As-salaam ay jaan-e-payghambar kehte hai "Rehan-o-Sarwar"