(Hussain ya hussain) x3

Ay hur kise mili ye shahadat ki zebo zain, baadi pe tere aayi he khud maadare hussain, is martabe ke baad sab kuch to milgaya, ay hur hussain milgaye, rab tujhko milgaya

    (Kuchh nahin mila) x2 use tu nahin mila jise

    (Tu jisko milgaya rab usko milgaya) x3

    (Bas ya Hussain) x4
    Ye bas hussain ki ata (ye bas hussain ka jigar) x2

    Jo kehdiya who motabar (jo dediya to sara ghar) x2

    Karam hussain ka karam kisi pe hogaya agar

    Mile kisi ko bale par kisi ko milgaye pisar

    (Hur banadiya) x2 use jo ek baar milgaya

    Tu jisko milgaya rab usko milgaya

    (Bas ya Hussain) x4
    (Wa tu izzu man tasha wa tuzzilu man tasha) x2

    Adam ki puri nasl pe ehsan kon tha

    Jis par khuda ko naaz who insane kon tha

    Kunbe ke saath deen pe qurban kon tha

    Noke sina pe qariye quran kon tha

    Ay karbala bata tera mehman kon tha

    (Bas ya Hussain) x4
    (Bas hussain ka) x2 jise ye ikhtiyaar milgaya

    Ye ikhtiyaar kitna waseelo buland he

    Sara jahaan Hussain ki mutthi mein band he

    Badla he karbala mein taqazae inqilab

    Neze pe ab jo sar he wohi sar buland he

    Ewane imbisaat mein jannat na kar talab

    Ye who ghame hussain ke aansu mein band he

    (Bas ya Hussain) x2

    Tu jisko milgaya rab usko milgaya
    Dastaan Hussain ki samajh mein aagayi agar

    To hur ki rehguzaar par karega ishq ka safar

    Tarap tarap uthega tu kahega raat raat bhar

    Hussain bas hussain he sina pe ya zameen par

    (Shahe Karbala) x2 se jis ke bal ka taar mitgaya

    (Tu jisko milgaya rab usko milgaya) x2
    Ik do pahar mein jisne bhara ghar luta diya

    Nagaah khuda he jispe who sajda ada kiya

    Apne lahu se khaak ko khaake shifa kiya

    Ashur ek roz tha sadiyon pe chha gaya

    Karbobala ko arshe muwalla bana diya

    (Bas ya Hussain) x4

    (Salam ya Hussain) x2 rab ka itebaar milgaya

    Tu jisko milgaya rab usko milgaya
    Jab ran mein zulfiqar e ali nadahaan chali

    Bhich bhich gayin safon pe safeen who jahaan chali

    Chamki to is tarah udhar ayi wahaan chali

    Dene ko daad arsh se pyaase ki maa chali

    Muddat ka taal mel tha barson ka saath tha

    Jaisi who zulfiqar thi waisa hi haath tha

    Khaak aagayi safon ko jidhar aayi zulfiqar

    Geh chupgayi to gaah nazar aayi zulfiqar

    Sar par chamak ke taba qamar aayi zulfiqar

    Zi kat kar zameen pe utar aayi zulfiqar

    Phir to ye ghul huwa ke duhaayi hussain ki

    Allah ka ghazab he laraayi hussain ki

    (Hussain ya hussain) x4

    Ayi nidae ghaib ke shabbir marhaba

    Is khaak ke liye thi ye shamsheer marhaba

    Ye aab ru ye jang ye tauqeer marhaba

    Bas bas hussain bas mere dilgeer marhaba

    Waqte namaaze asr he takbeer marhaba

    (Bas ya Hussain) x4

    Labbaik keh ke tegh rakhi sheh ne myaan mein

    Palti sipaah aayi qayamat jahaan mein

    Lo khanjaron mein teghon mein bhagon mein ghir gaye

    Tanha Hussain barchiyon waalon mein ghir gaye

    (Hussain ya hussain) x4
    "Rehan-o-sarware" hazeen suno ye aisa raaz he

    Hussain keh rahe the bas khuda pe mujhko naaz he

    Na bhai na pisar raha na koi chara saath he

    Azaan he Hussain he khudaaye beniyaz he

    Na seen na zameen par ye aakhri namaaz he

    (Hussain ya hussain) x4
    Jiske dil mein Hussain rehta he

Farsh majlis ka jo bichhata he

Jo bhi nawha kahin sunata he

Leke name Hussain rota he

(Usko zehra salam karti he) x6

(Hussain ya Hussain) x4