Sab phulo ke gehne me sawaari dulhan aaye.

Tum jese ho bas ese hi pyaari dulhan aaye.

(Sar pe agar sehra sajana, Hatho pe kangnaa jo bandhana) x2

(Bhaya muje bhool na jaana) x2

Sarpe agar sehra sajaana

(Bhaya muje bhool na jaana) x2

    Fatema sugra ne ye akber ko likha hai,

    Bhayi salaamat raho behna ki duwa hai,

    Baad duwa dil me ye armaan basaa hai,

    Masne de shaadi jo bichaana,

    Bhayaa muje bhool na jaana…………..
    Baba ki aggosh me me bhi to pali hu,

    Bhaya teri ungli pakar kar me chali hu,

    Kyu me tere chaawo se mehroom rahi hu,

    Baba ki jab chawo me janna,

    Bhaya muje……………….
    Baba se kehna ke meri jald khabar le,

    Toot na jaaye kahi baba meri saase,

    Kataa nahi din na guzarti hai ye raate,

    Khat mera baba ko sunana,

    Bhaya muje………..

   

   

   
    Bhaya teri baad jo din eid ka aya,

    Eid ke din eid me gham mene hi paaya,

    Mujko bhare gar ki judaayi ne rulaaya,

    Dukh ye mera sab ko bataana,

    Bhaya muje……………
    Sunti hu kerbal ki bohot garm hawaa hai,

    Amma se kehne ke ye sugra ne kahaa hai,

    Phool saas gar jo mera sath gayaa hai,

    Dhoop se jab usko bachaana,

    Bhaya muje ………….
    Behno ka dil jaane jigar hota hai bhayi,

    Ankh geher ti hai jigar hota hai bhaayi,

    Mere tarap ne ka asar ho ta hai bhayi,

    Tum ho jaha mujko bulana,

    Bhaya muje …………….
    Bhaya muje rehta hai har waqt ye ehsaas,

    Bhool gaye kya muje mere chacha abbas,

    Aye alam aye sakina ho mere paas,

    Aas meri tor na jana,

    Bhaya muje…………….
    Ama se kehna ke sakina ki kasam hai,

Faisela ab kabre se bimaar ka kam hai,

Der na ker na ke mere hoto pe dam hai,

Haat duwa ko jo uthana,

Bhaya muje…………….