Shareeke karbala behan

Meri musafira behan

(Ya Hussain) x4

Rasan mein bandh chukka gala lo chal para who kafila, behan ghareeb nawha gar, sina pe jab parhi nazar, khamosh the shaheed sab, akhi ke hilrahe the lab, (sina pe ho to kya huwa) x2 tu hosla na haarna, (behan mein saath saath hun) x3

    Ghareebe karbala behan

    Diler e ba wafa behan

    Ghamon ki alqama behan

    Meri musafira behan

    Tu hosla na haarna

    Sina pe hun to kya huwa

    Tu hosla na haarna

    (Behan mein saath saath hun) x2
    Wafae waada hochuka

    Sina talaq mein aagaya

    Mein apna kaam karchuka

    Meri shareeke karbala

    Tu hosla na haarna

    Sina pe hun to kya huwa

    Tu hosla na haarna

    (Behan mein saath saath hun) x2
    Ye rassiyan ye beriyan

    Qadam qadam be sakhtiyan

    Rida bagher bibiyaan

    Behan kara he imtehaan

    Tu hosla na haarna

    Sina pe hun to kya huwa

    Tu hosla na haarna

    (Behan mein saath saath hun) x2
    Agar he rasta kathan

    Zara na dar meri behan

    Tu berida mein bekafan

    He waqt hosla shikan

    Tu hosla na haarna

    Sina pe hun to kya huwa

    Tu hosla na haarna

    (Behan mein saath saath hun) x2
    Qadam qadam shahadatein

    Guzar gayi qayamatein

    Abhi he aur afatein

    Sambhale ab amaanatein

    Tu hosla na haarna

    Sina pe hun to kya huwa

    Tu hosla na haarna

    (Behan mein saath saath hun) x2
    Koi bhi ab nahin bacha

    Bas abide shakista pa

    Ye saare bane ghamzada

    Gire jo khake ghash zara

    Tu hosla na haarna

    Sina pe hun to kya huwa

    Tu hosla na haarna

    (Behan mein saath saath hun) x2
    Behan teher teher yahi

    Laraz rahi he kyun zameen

    Sakina girgay kahin

    Na milsake jo who hazeen

    Tu hosla na haarna

    Sina pe hun to kya huwa

    Tu hosla na haarna

    (Behan mein saath saath hun) x2
    Bohot qareeb shaam he

    Hujoome khaaso aam he

    Yazeede bad kalaam he

    Ye waqte inteqaam he

    Tu hosla na haarna

    Sina pe hun to kya huwa

    Tu hosla na haarna

    (Behan mein saath saath hun) x2
    Ghareebe karbala behan

    Diler e ba wafa behan

    Ghamon ki alqama behan

    Meri musafira behan

    Tu hosla na haarna

    Sina pe hun to kya huwa

    Tu hosla na haarna

    (Behan mein saath saath hun) x2
    "Rehaan-o-sarware" aza

Jo sham pohoncha kafila

Sare hussain ne kaha

Ulat de takht shaam ka

Ghareebe karbala behan

Diler e ba wafa behan

Ghamon ki alqama behan

Meri musafira behan

Tu hosla na haarna

Sina pe hun to kya huwa

Tu hosla na haarna

(Behan mein saath saath hun) x2