Dakhil jo madine me huwe ahl-e-madina

Jaate huwe kuch aur the ab kya hai karina

Na Akbaro Abbas na Hamrah Sakina

Aur gham se har ik bibi ka labrez tha sina

Jab ghar ke karib aagayi kunbe ki sawaari

Sughra ne jo dekha to ye, roro ke pukaari

Amma, amma

Hay (Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x3

    Sughra, kya puch liya Sughra tune, sab kuch to ayaa hai chehre se, le dekh safed yeh baal mere, mat puch kaha hai ab kunba

    (Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x2
    Sughra, jis jaan se pyaara kehti thi, din jis ke liye tu ginti thi, be goro kafan hai baba tera, mat puch kaha hai ab kunba

    (Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x2
    Sughra, jis kunbe ko tu puchti hai, wo karbobala ki khaak huwa, sab chand chupe karbal me tere, mat puch kaha hai ab kunba

    (Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x2
    Sughra, wo eik zaeef jawaan jo hai, pehchaan isse Sajjad hai ye, Isse shaam ki galiya maar gayi, mat puch kaha hai ab kunba

    (Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x2
    Sughra, wo Asghar jo cheh maah ka tha, wo bhi na raha, wo bhi na raha, maa dhoop me baythi roti hai, mat puch kaha hai ab kunba

    (Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x2
    Sughra, jab shaam-e-ghariba ayi thi, Zainab pe bari tanhaayi thi, ghar jalta that chinti thi rida, mat puch kaha hai ab kunba

    (Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x2
    Sughra, darti thi andhere se jo bahot, wo bali Sakina teri behen, ab tak hai wo zindaa mei Sughra, mat puch kaha hai ab kunba

(Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x2