haaye haaye
haaye ali akbar
jivan ka asaasa tha piri ka sahaara tha
kya jaane wo kya kya tha
akbar mera pyaara raaj dulaara tha

akbar ki jawaani par sau jaan se fida maadar
ay kaash use dekhun ek baar nazar bharkar
wo aankhon ka taara tha raaj dulaara tha

ye din the jawaani ke akbar teri shaadi ke
kis tarha lute armaan teri maa dukhiyaari ke
aisa to na socha tha raaj dulaara tha

kya khub wo surat thi naana ki shabaahat thi
waabasta bahot tumse apnon ki mohabbat thi
wo sab ka dulaara tha raaj dulaara tha

ek daaghe alam dekar kis samt chale akbar
sar kham kiye rokar beta teri raahon par
baba ka ye naala tha raaj dulaara tha

sine me jo bhaala hai is dil me bhi utra hai
kaise ye sahu sadma ye maa ka kaleja hai
wo naazon ka paala tha raaj dulaara tha

maidaan se jo aate tum aur maa ko bulaate tum
paani mein tumhe deti aur pyaas bujhaate tum
kya maa ko pukaara tha  raaj dulaara tha

jab yaad teri aaye dil tumko kahaan paaye
itna to bata jaawo maadar ye kahaan jaaye
yun mujhko rulaana tha raaj dulaara tha

jab ali shanaawar ye zikre gham sunaata hai
zaakira ka ye noha har maa ko rulaata hai
gham ye kitna gehra tha raaj dulaara tha