Phir Fatima s.a K Ghar Mein Farsh E Aza Bicha Hai
Bimaar E Karbala Ka Taboot Uth Raha Hai

Karb O Bala Ka Zakhmi Yasrab Mein Chal Basa Hai

Zair E Kafan Bhi Uski Ankhon Se Hai Khoon Jari
Yaad Aa Rahi Hai Ghurbat Sajjad a.s Ko Padar Ki
Rozay Se Mustafa s.a.w.w K Elaan Ho Raha Hai

Baqir a.s Se Keh Raha Tha Sadaat Ka Gharana
Pehlu Mein Nana s.a.w.w Jaan K Maiyyat Na Le K Jana
Pehle Bhi Ik Janaza Wapis Aa Chuka Hai

Ab Tu Madinay Walo Tum Ko Sakoon Rahe Ga
Roye Ga Aur Naa Iski Ankhon Se Khoon Bahy Ga
Baba Ko Ronay Wala Khamosh Ho Gya Hai

Maiyyat K Agay Agay Ye Koi Keh Raha Tha
Bazaar Se Na Guzry Sajjad a.s Ka Janaza
Bazaar Ko Yeh Qaidi Roota Howa Gaya Hai

Mara Hai Iss Tarah Se Zalim Ne Zehar De K
Kat Kat K Bahir Aye Iss K Jigar K Tukry
Pehlu Pe Fatima s.a K Phir Ek Zakham Laga Hai

Taboot Se Lipat Kar Kehti Hai Koi Bachi
Zindaan Se Hai Bhaiyya Behan Tumhari
Ankhein Tu Khol Lo Ab Sar Par Mere Rida Hai

AKBAR Jo Lash E Fizza Dafna K Uthy Mola a.s
Ayii Sada E Zainab s.a Baqir a.s Watan Chala Ja
Sajjad a.s Ka Janaza Tiyaar Ho Gya Hai