Ya Hussain

Qariya qariya aa gaya kucha kucha gaya
Har jagah zikr e aal e mohammed kiya
Milgaya jis jagah mujhko farsh e aza
Apni pehchan karwayi hai iss tarha
Naam hai mera azadare Hussain
Kaam mera maatam e Hussain hai

Kya fikr ho duniya ki mujhe kya ho bhala gham (2)
Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham
Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)

Maulai mujhe ye kehta hai saara zamana
Tauqeer mujhe deta hai Zehra ka gharana
Kehta hai mujhe zakir e shabeer e do alam

Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham
Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)

Pehchaan meri saare zamane pe ayaan hai
Sine pe mere maatam e sarwar ka nishaan hai
Nauha hai hoton pe mere aur ankh meri nam

Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham
Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)

Agar chahun toh khud apni he taqdeer badal dun
Pairon ke tale saare yazeedon ko kuchal dun
Maatam se mujhe rokle kisme hai bhala dum

Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham
Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)

Har katra mere khoon ka deta hai gawahi
Hun lashkar e shabeer ka be tegh sipahi
Hun barsar e paikaar yazeedon se hum adam

Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham
Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)

Imaan bhi maatam hai ye maatam he aqida
Jeena ka hunar majlis e shabeer se sikha
Ye baat mere hoton pe rehti hai hum adam

Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham
Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)

Majlis he meri quld hai majlis he mera ghar
Maa baap bhi aulad bhi qurban isi par
Ahlan yehi tum bhi karo aur yehi gham

Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham
Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)

Ye nasl e yezidi jise kehti hai tamasha
Dar asl ye maatam hai usey muh pe tamacha
Fatwon ki fiza rokhna payegi ye maatam

Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham
Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)

Woh dast e bala sham e ghareeban ka andhera
Kehti thi ye saidaniyon se Sani e Zehra
Hai bibiyon sad shukr ke laachar nahi hum

Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham
Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)

Karbal se sue shaam chali Aal e Payambar
Zainab se yehi kehne laga ye laasha e Sarwar
Ye kehti chalo ay meri masooma e alam

Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham
Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)

Shehzadi e Kaunain ki ye mujh par ata hai
Haathon ki lakeeron may meri ye bhi likha hai
Ta hashr qalam chalta rahega mera paigham

Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham
Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)

Allah ka mazhar ye sab se bada hai
Usne hume maatam ke liye paida kiya hai
Farhan yehi keh ke nighahon ko karo qam