wawaila sad wawaila
wawaila sad wawaila

kehti thi ye zainabe laachaar
qatl alamdaar ho gaya hai

sar se  mere  jaayegi dastaar
qatl alamdaar ho gaya hai

bain karo bibiyon haay alamdaare shah
zere alam ye kaho haay alamdaare shah
bhaayi ke labon peh ye buka hai
zindagi ab ho gayi dushwaar
qatl alamdaar ho gaya hai

haathon me kuze liye bethi hai ek ghamzadah
koyi bataade  use kaisa sitam ho gaya
ab tu yehi bain kar haay alamdaare shah
aayaa nahin laut kar haay alamdaare shah
mashk pe qurbaan ho gaya hai
baali sakina ho khabardaar
qatl alamdaar ho gaya hai

bole  shahe karbala furqate abbas me
sab karo majlis bapa furqate abbas me
mil ke  parho marsiya haay alamdaare shah
koyi nahin aasraa haay alamdaare shah
chaaron taraf fauje ashqiya hai
koyi nahin saayae deewaar
qatl alamdaar ho gaya hai

aankhon se  ye alqamah jaari rahegi sada
tujh ko mere  baawafaa yaad rakhegi wafa
lab pe rahenge ye bain haay alamdaare shah
rota rahega hussain haay alamdaare shah
jeene se bezaar hochuka hai
qatl karen mujh ko sitamgaar
qatl alamdaar ho gaya hai

noha hai kulsum ka haay shahe karbala
ho gaya mujh ko yaqeen jaayegi sar se rida
dil se uthi ye sada haay alamdaare shah
chhor ke mujh ko gaya haay alamdaare shah
ab to har ek saans ek saza hai
kaise  jiye ab ye dilafgaar
qatl alamdaar ho gaya hai

aur bhi to ab sitam dhaayenge  ye ashqiya
dashte bala me mera bhaayi akela huwa
mujh ko yaqeen ho gaya haay alamdaare shah
jaayegi meri rida haay alamdaare shah
ehle haram ki yehi sada hai
ho gaye aazaad sitamgaar
qatl alamdaar ho gaya hai

mazhar o farhan ye gham hai qayaamat ka gham
zainab o shabbir ka haal karun kya raqam
lab pe yehi thi buka haay alamdaare shah
daage judaayi diya haay alamdaare shah
tu nahin to zindagi me kiya hai
koyi nahin dasht me ghamkhwaar
qatl alamdaar ho gaya hai

wawaila sad wawaila
wawaila sad wawaila