Aaie Maan…..Aaie Pyari Maan



Haan Meri Pyari Maan, Paas Bullae Maan…..2



Waqt E Shahadat Aa Pohucha Hai

Khanjar E Qatil Bhi Pyasa Hai

Pyas Bujha Ne Teg E Sitam Ki

Tera Lahu Makhtal Jaata Hai

Hota Hun Ghar Se Rawan



Paas Bula Le Maan…..

Haan Meri Pyari Maan, Paas Bula Le Maan…..



Tere Seene Par Sar Rakh Kar, Soie Hue Barson Beete Hain,

Godh Mein Soun Teri Jaise, Jhule Mein Bacche Sote Hai,

Chahiye Mujhko Amaan…..



Paas Bula Le Maan…..



Lashon Par Lashe Laya Hun, Makhtal Se Mein Tanha Amma,

Dil Me Nahi Hai Taqat Mere, Uthta Nahi Hai Sadma Amma,

Khush Hai Meri Zaban….



Paas Bula Le Maan…..



Chalni Hua Akbar (A.s.) Ka Kaleja, Seene Mein Toota Hai Naiza,

Noor Gaya Meri Aankhon Ka, Milta Nahi Hai Mujhko Rasta,

Mar Gaya Kadiyal Jawan…..



Paas Bula Le Maan…..



Bali Sakina (S.a.) Rok Rahi Hai, Maktal Mein Jaane Nahi Deti

Kiske Seene Par Soiengi, Amma Ab Meri Pyari Beti

Uspe Karo Ehsan…..



Paas Bula Le Maan…..



Meri Bahan Zainab (S.a.) Woh Khadi Hai, Khaime Ke Dar Se Dekh Rahi Hai,

Sabr Khuda De Mere Bahan Ko, Amma Dua Do Sakht Ghadi Hai,

Roti Hai Sub Beebiyan…..



Paas Bula Le Maan…..



Mooh Ko Chupa Lo Balon Se Apne, Dekh Sakongi Kaise Yeh Manzar

Kaise Sahongi Dekh Ke Amma, Apne Pisar Ke Halq Pe Khanjar

Hota Hai Khanjar Rawan…..



Paas Bula Le Maan…..



Kehte The Farhan Yeh Sarwar (A.s.), Main To Hun Rehan E Risalat

Zakhm Hazaron Dil Pe Utha Ke, Karta Raha Inkar E Baiyat

Ab Hai Yehi Arman…..



Paas Bula Le Maan…..