zinda rahe hussain tera gham manaayenge
ay fatema ke laal ye waada nibhaayenge

ghar me hamaare aayengi majlis me fatema
farshe aza ke saath ye dil bhi bichaayenge

jhule amaariyan ye shabihein ye taaziye
tehzeebe gham se dard ke manzar sajaayenge

ye unka hai julus jo pyaase huwe shaheed
ham iske raaste me sabilein lagaayenge

kehte hain chote chote se bachhe ye baap se
ek roz baba jaan ye alam ham uthaayenge

kuch der zuljanah mere ghar pe rok do
pyaase ki is sawaari ko paani pilaayenge

bachpan se hai dua ke banaayenge ghar jahaan
ashur khaana ghar me wahaan ham sajaayenge

ghar me agar ho nazre sakina to hai yaqeen
us nazr me sakina ke ammu bhi aaayenge

kis shaan ke mile hain namaazi hussain ko
teeron ke saamne ye musalle bichaayenge

bachhon ko apne sajda e shabbir ki qasam
maatam ke saath saath namazein sikhaayenge

raahe hussainiyat ke shaheedon salaam lo
inko na apne dil se kabhi ham bhulaayenge

baade zahoor hoga moharram ka ye hasham
ham karbala imam ke hamraah jaayenge

nauha bhi hai safeer e aza sarwar o hilal
jis des me bhi jaayenge nauha sunaayenge