Hai Bistare se thar tharaa ke uthhi thaam kar asaa, Qabr-e-nabi pe fateha-e-aakhri parha, Hum saaiyon ke ghar gayi rukhsat ko aur kaha

Izza thi tum sabhon ko mere shaur-o-shain se, Kal Fatema na hogi so owege tum chain se, Nagahh showr utha ke Zehra guzar gayin, Amama sar se phaink ke rowe imaam-e-deen rotithi milke Zainab-o- kulsum thi qarib, aur door se Hussain rotethe khare, Fizza pukari aap yahan kya na aayenge, Bole Hussain amma pukare to jaayenge

Tute bande kafan Fatema ke aur phir haath nikle kafan se, aayi aawaz aa ay Hussain, Maa Bulati hai aa ay Hussain

(Maa bulati hai aa ay Hussain) x2 (aa mere paas aa ay Hussain) x2

    (Aye Shabbir Zehra ke lab yu hile) x2 Chakiya pis ke maine palaa tuje, Aa mere laal aa maa ke laag ja gale, wakt-e-ruksat hai aise nahi ruth te

    (Maa bulati hai aa ay Hussain) x2 (aa mere paas aa ay Hussain) x2
    Teri khaatir mein jaa kar palat aayi hun, Dekh kar tere aansu mein ghabrayi hun, Dekh zere kafan gham se tharayi hun, Tujh ko behlaane jannat se mein aayi hun

    (Maa bulati hai aa ay Hussain) x2 (aa mere paas aa ay Hussain) x2
    Aa mere laal aa aik ye kaam kar, mere seene pe kuch dair aaram kar, tu to chalta tha ungli meri thaam kar, yaad woh subho kar yaad woh shaam kar

    (Maa bulati hai aa ay Hussain) x2 (aa mere paas aa ay Hussain) x2
    Tu ne khaana bhi khaaya ke khaaya nahin, kehde maa se ke aaj tu pyaasa nahi, subh se muh kisi ne dhulaya nahi, so gayi mein tujhe kyun sula ya nahi

    (Maa bulati hai aa ay Hussain) x2 (aa mere paas aa ay Hussain) x2
    Daste Zainab mein phir deke daste Hussain, Boli Zahra kafan mein basad showr o shain, dekh Zainab meri laadli noor e ayn, ye jo roya to Zahra na paayegi chain

    (Maa bulati hai aa ay Hussain) x2 (aa mere paas aa ay Hussain) x2
    Jaaiyo saath iske ye jaaye jidhar, mere bache ki Zainab hai tu humsafar, Karbala ka musaffir hai mera pisar, gham ki badli na chaaye mere chaand par


    (Maa bulati hai aa ay Hussain) x2 (aa mere paas aa ay Hussain) x2
    Haaye Karbobala mein wo din aagaya, Shimr ka halqe Sarwar pe khanjar chala, Amma Amma ki aane lagi jab sada, Baal bikhrake Zehra ne ro kar kaha

(Maa bulati hai aa ay Hussain) x2 (aa mere paas aa ay Hussain) x2